
‘Awards Ke Baad Ab Commercials Mein Entry!’: ‘DHA Wali Maid’ Apne Pehle Baqaida Advertisement Mein Jalwa-Gar Hone Ko Tayyar
Pakistan ki Mashhoor Maid, Content Creator, YouTuber aur influencer ‘DHA Wali Maid’ ko bari kamyabi mil gayi hai. Pakistan Influencer Awards jeetne ke baad ab woh apna pehla baqaida commercial advertisement karne ja rahi hain. Aik mashhoor sweets brand ke is project mein unke sath influencer Amtul bhi nazar aayengi.



