
“Tonsils Se Sehatyabi Ke Baad Pehla Paigham!”: Asim Azhar Ka Muharram Ke Baad Naye Music Ka Wada
Singer Asim Azhar ne Instagram par fans ka shukriya ada karte hue bataya ke unhein naye gaano par bohot pyaar mil raha hai, unhon ne apni sehat se mutaliq bataya ke tonsils ke baad ab wo theek hain aur unhon ne Muharram ke baad naye music ka wada bhi kiya hai.



