Senior adakara Sania Saeed ne drama serial ‘Dar e Nijaat’ ke kirdar Abu Bakar par baat karte hue kaha hai ke woh koi farishta nahi balkay har ghar ki bari beti ki tarah aik shareef aur khayal rakhne wala shakhs hai. Unhon ne kaha ke Umera Ahmed ne aik larki ka kirdar likh kar usay larka bana diya.