Drame Mein Apni Hi Maa Ka Bachpan Ban Gayi: Jahan Ara Ne Sab Ko Heran Kar Diya

Mashhoor adakaara Faiza Hasan ki beti Jahan Ara ne drama ‘Tum Larkay Bhi Na’ se acting ki duniya mein qadam rakh diya hai. Dilchasp baat yeh hai ke unhon ne drame mein apni hi walida ke bachpan ka kirdar ada kiya. Jahan Ara ki shakal aur muskurahat bilkul apni maa se milti hai, jisay dekh kar fans dang reh gaye.

Momina Iqbal Ka Daring Action, Dakuon Se Luta Hua Saman Wapas Chheen Liya

Momina Iqbal ne dakuon se apna luta hua saman wapas lekar sab ko heran kar diya. Shooting ke doran un ki car, iPhone aur marhoom waalid ka wallet chori ho gaya tha. Momina ne haar maan-ne ke bajaye khud ‘detective’ ban kar ‘Find My iPhone’ ke zariye dakuon ka peecha kiya aur police ki madad se apna qeemti saman baramad karwa liya.

Pakistani Celebrities Ramadan Mein Larnay Wali Actresses Ko Call Out Karne Lage

Pakistan ke mashhoor actors and actresses jese Nauman Ijaz, Amna Malik aur Samar Jafri ne Ramadan 2026 mein actresses ke darmiyan chalne wali social media laraiyon par khuli tanqeed ki hai. Celebrities ne industry ko mashwara diya ke muqaddas mahine mein behas aur controversies se parhez karein aur Ramadan ka ehtaram barqarar rakhein.