Skip to content
Saved
Home

Author: Muntaha

Dr Nabiha Ka Khula Ke Baad Shohar Ki Bad-Saluki Par Mabni Leaked Audio Share Karne Ka Inkishaf

Maroof psychologist Dr Nabiha Ali Khan ne apne shohar Haris Khokhar se khula dakhil karne ke baad un ki bad-saluki par mabni audio leaks social media par share kar di hain. Leaked call me Haris ko unhe gaaliyan dete sunaa ja sakta hai, jis par sarfeen un ke purane pro-men bayanat par unhe aaina dikha rahe hain.

Jis Tarha Sajal Ne Woh Bhagne Wala Shoot Kiya Tha, Hats Off To Her, That’s Why Sajal Aly Is Sajal Aly: Sahar Hashmi

Sahar Hashmi ne maroof actress Sajal Aly ki adakaari aur mehnat ki behad tareef ki hai. Unhon ne kaha ke jis tarha Sajal ne bhagne wala scene shoot kiya tha wo qaabil-e-deed tha. Un ke mutabiq Sajal ki is be-misaal adakaari aur lagan ki wajah se hi unka koi muqabla nahi.

Ahsan Khan Ka Drama ‘Aap Ki Izzat’ Ka Intikhab Karne Par Inkishaf: “Behtareen Team Aur Dumdar Script Ki Wajah Se Haan Ki”

Maroof actor Ahsan Khan ne drama serial ‘Aap Ki Izzat’ ka intekhab karne ki wajoohat bayan kar dein. Unhon ne bataya ke behtareen team, Umera Ahmed ke script aur apne kirdar Tabish ki zabardast transformation ki wajah se unhon ne is project ka intekhab kiya jo har ghar ki kahani hai.

Eman Rajab Ka Divorce Controversy Par Jazbati Bayan: ‘Main Apne Bete Ke Liye Yeh Masla Khatam Karna Chahti Hoon’

Eman Rajab Butt ne Instagram par jazbati bayan me kaha ke wo is maslay ko khatam karna chahti hain. Unhon ne dono khandan’on ko mil kar masla hal karne ka kaha takay un ke bete Kivan ko baap ka pyar mil sake. Eman ne Rajab ko doosron ke behkawe me na aane ka mashwara diya.

“Aik Mard Ke Liye Bohat Asan Hota Hai Live Aa Ke Kehna Ke Hamara Divorce Hone Wala Hai Lekin Aurat Pe Kya Guzarti Hai Koi Nahi Sochta”: Emaan Rajab

Eman Rajab ne ek jazbati bayan me kaha ke mard ke liye live aakar divorce ka elan karna aasan hota hai, lekin is mushkil waqt me aurat par kya guzarti hai koi nahi sochta. Unhon ne tawajjo dilaayi ke log aksar is doran aurat ke zehni dard aur azab ko nazar-andaz kar dete hain.

“Rajab Ki Zindagi Mein Jo Maslay Aaye Woh Shadi Mein Milne Wale Gifts Se Aaye The Jo Maine Nahi Diye The”: Emaan Rajab

Influencer Rajab Butt ki wife Eman Rajab ne daawa kiya hai ke Rajab ki zindagi me maslay shadi me milne wale gifts ki wajah se aaye jo unhon ne nahi diye the. Unhon ne ongoing controversy ke darmiyan apna mauqif bayan karte hue un gifts ki zimmedari lene se inkar kar diya hai.

“Main Chahti Hon Dono Families Baithay Aur Cheezain Sort Out Karain Takay Haqeeqat Sab Ke Samne Aaye”: Eman Rajab

Youtuber rajab butt ki wife Eman Rajab ne dono khandano ko aik sath baith kar mamlaat ko aamne saamne hal karne ki zaroorat par zor diya hai. Unhon ne kaha ke wo chahti hain ke haqeeqat sab ke samne aaye takay mis-understandings ko izzat aur insaf ke sath khatam kiya ja sake.

Saba Qamar Ka Dua Ki Taaqat Par Dilchasp Paigham: ‘Allah Ne Meri Har Sachi Dua Qabool Ki Hai, Alhamdulillah’

Maroof Actress Saba Qamar Ne Dua Ki Taaqat Aur Allah Ki Behtareen Hikmat Par Yaqeen Ka Izhar Kiya Hai. Unhon Ne Kaha Ke Allah Ne Un Ki Har Sachi Dua Qabool Ki Hai Aur Unhein Har Haal Me Shukur Ada Karna Chahiye. Un Ka Yeh Paigham Fans Ko Dua Par Yaqeen Rakhne Ki Yaad Dilata Hai.

Bushra Ansari Ka Sabiq Shohar Iqbal Ansari Mein Talaq Ke Baad Aane Wali Nayi Tabdeeliyon Par Inkishaaf

Maroof Senior Actress Bushra Ansari Ne Aik. Podcast Me Inkishaf Kiya Hai Ke Shadi Ke Doran Bachon Aur Ghar Ki Tamam Zimmedariyan Unhi Par Thin. Lekin Talaq Ke Baad Un Ke Sabeq Shohar Iqbal Ansari Me Bara Badlao Aaya Hai Aur Ab Wo Aik Behtareen Baap Aur Nana Ban Chuke Hain.

Atiqa Odho Ka Drama ‘Zanjeerain’ Ke Script Par Saqt Izhar-e-Barham: ‘Aisa Lagta Hai Kirdar Mars Par Reh Rahe Hain’

Senior actress Atiqa Odho ne show ‘Kya Drama Hai’ me drama serial ‘Zanjeerain’ ke script par saqt tanqeed ki hai. Unhon ne kaha ke drame me kisi qanooni idare ya police ka na hona samajh se baahar hai. Aisa lagta hai jaise kirdar Mars par reh rahe hain jahan koi qanoon nahi.

← Previous
Next →

Copyright © 2025 Abdulnews. All Rights Reserved.