“Ab To Har Koi TikTok Par Kanjar Ban Gaya Hai” Ahmed Ali Butt

Ahmed Ali Butt ne aik interview ke doran TikTokers ko “Kanjar” keh dala. Unhon ne kaha ke pehle showbiz walon ko bura samjha jata tha, magar ab har koi TikTok par ye kaam kar raha hai. Ahmed ne khud iqrar kiya ke unhen is bayaan par trolling ka samna karna par sakta hai.

“Shaan Shahid SRK Se Baray Adakaar Hain” Meera Ka Daawa

Meera ne Rehan Tariq ke podcast mein dawa kiya hai ke Shaan Shahid, Shahrukh Khan se bare adakaar hain. Unka kehna hai ke Shaan na sirf behtareen actor hain balkay la-jawab director aur writer bhi hain. Meera ne mazeed kaha ke hamen Indian stars ki baat karne ke bajaye apne mulki sitaron par fakhar karna chahiye.

“Kamyab Din Ka Aaghaz Fajr Aur Quran Se Hota Hai,” Saba Qamar

Saba Qamar ne social media par aik paigham share kiya hai. Unka kehna hai ke aik kamyab din ka aghaz hamesha Namaz-e-Fajr aur Quran-e-Pak ki tilawat se hota hai. Saba ne bataya ke ibadat se din shuru karne se insan ko sukoon aur positivity milti hai, jo sara din sath rehti hai.