“Ghar Ke Mulazmeen Hi Gharon Mein Larai Karwate Hain” Saba Faisal

Saba Faisal ne inkishaf kiya hai ke ghar ka sukoon ya fasad mulazmeen ke hath mein hota hai aur wahi aksar gharon mein jhagron ki wajah bante hain. Unhon ne bataya ke unki apni domestic help bhi unse chughli karne ki koshish karti hai, lekin wo foran unhen khamosh kara deti hain.

Nadia Jamil Ne Apni Umar Bata Kar Sab Ko Hairaan Kar Diya

Nadia Jamil ne bataya hai ke wo is saal 54 saal ki ho jayengi aur unhen apni umar par fakhr hai. Unhon ne kaha ke aaj kal ke daur mein 50 saal tak pohanchna bhi aik kamyabi hai. aur kaha ke Allah ke siwa kisi ki zaroorat nahi aur har aurat ko chahiye ke wo doosron ke bajaye pehle khud se mohabbat karein.