‘Aaj Zinda Bach Gaye Yeh Hi Bari Achievement Hai’: Romaisa Khan Ka Mulki Halat Par Dilchasp Bayan

Maroof content creator aur actress Romaisa Khan ne moojooda halat par afsoos ka izhar karte hue kaha hai ke aaj kal hamare liye sab se badi achievement bas zinda bach jana hai. Un ke is duhai bhare bayan par fans aur social media users un ke sath muwafiqat ka izhar kar rahe hain.
‘Har Drame Mein Aik Hi Rona Dhona’: ‘Kaisa Yeh Ishq’ Mein Overacting Par Zoha Tauqeer Ko Trolling Ka Samna

Maroof adakara Zoha Tauqeer ko Geo TV ke drama serial ‘Kaisa Yeh Ishq’ me rona dhona aur zyada overacting karne par tanqeed ka samna hai. Social media users ka kehna hai ke wo har drama me aik hi jaisa rona dhona karti hain aur unhein aik hi tarah ke kirdaron me typecast kiya ja raha hai.
‘Gulbahar’: Sanam Saeed Aur Emmad Irfani Ke Naye Drame Ka Teaser Release

Maroof actors Sanam Saeed aur Emmad Irfani ke naye drama ‘Gulbahar’ ka teaser release kar diya gaya hai. Aliya Bukhari ke likhe aur Mehreen Jabbar ke direct kiye is drama me dono aik be-aulad jore ka kirdar nibha rahe hain. Drama serial ‘Kafeel’ ke baad is hit jodi ko dobara saath dekh kar fans kafi excited hain.
‘Mulk Gham Mein Hai Aur Aap Dance Kar Rahi Hain’: PIMS Sanihe Par Khamoshi Par Hania Aamir Ko Trolling Ka Samna

Maroof actress Hania Aamir ko mulk me hone wale afsoosnak saniha PIMS hospital par khamoshi aur social media par dance video share karne par tanqeed ka samna hai. Fans ka kehna hai ke jab qaum 14 bacchon ki maut par ghamzada hai, toh celebrity hone ke naate unhein sensitive hona chahiye tha.
‘Mujhe Cancer Hua Tha, Surah Rahman Se Theek Hua’: Nauman Ijaz Ka Bara Inkishaaf

Pakistan ke Maroof actor Naumaan Ijaz ne bataya ke unhein can cer ho gaya tha. Unhon ne bataya ke Surah Rahman ki tilawat ki barkat se wo bina chemotherapy ke hi bilkul theek ho gaye. Naumaan Ijaz ka yeh bayan social media par bohot ziada viral ho raha hai.
‘Meri Apni Kahani Lagti Hai’: Drama ‘Dar-E-Nijat’ Par Yasir Nawaz Ki Behan Anzalna Nawaz Ka Inkishaaf

Maroof director Yasir Nawaz ki behan Anzalna Nawaz ne drama serial ‘Dar-e-Nijat’ ki kahani ko apni shakhsi zindagi se mushabeh qarar diya hai. Unhon ne bataya ke jawani me wo bhi kirdar Zaryab ki tarah aik larke ki muhabbat me pagal thin aur apni bewaqoofi par unhein aaj tak afsoos hai.
‘Sirf Hero Nahi, Versatile Actor’: 3 Decade Me Ahsan Khan Ki Acting Performance Aur Career Evolution

Maroof actor Ahsan Khan ne 1998 me Lollywood se hero ke taur par apne career ka aaghaz kiya tha. Drama serial ‘Udaari’, ‘Alif’, aur haal hi me ‘Aap Ki Izzat’ me munfarid aur gehre kirdar nibha kar unhon ne sabit kiya ke wo sirf aik conventional hero nahi balkay aik behtareen aur versatile actor hain.
‘Mitti De Baway’: Mahira Khan Aur Wahaj Ali Ke Naye Drame Ka Suspense Aur Action Se Bharpoor Trailer Release

Maroof actors Mahira Khan aur Wahaj Ali ke drama serial ‘Mitti De Baway’ ka trailer release kar diya gaya hai. Faiza Iftikhar ke likhe aur Wajahat Hussain ke direct kiye is drame me Mahira ‘Billo’ aur Wahaj ‘Bala’ ke intense kirdar me nazar aa rahe hain. Fans is cinematic trailer ko kafi pasand kar rahe hain.
‘Makkah Se Muqaddas Yaadein’: Rakhi Sawant Ne Umrah Ki Adayagi Ki Tasveerein Share Kar Din

India ki maroof actress Rakhi Sawant ne Makkah Mukarramah me Umrah ki adayagi ke doran khana-e-kaba ki khubsoorat glimpse social media par share ki hain. Hijab me Rakhi Sawant ne muqaddas muqamat se apni tasaveer aur videos fans ke sath share karte hue apni khushi ka izhar kiya hai.
‘Meri Zindagi, Mera Faisla’: Behan Ki Shadi Par Parday Aur Mask Pehanne Ki Trolling Par Ramsha Khan Ka Wazahati Bayan

Alysha Khan ki shadi ke event me wo mask aur goggles pehan kar aayi thin, jis par logon ne samjha ke shayad un par koi zabardasti ki gayi hai. jis ki unhon ne is bayan ke zariye poori tarah tardeed kar di. Ramsha Khan ne yeh wazahat ‘Something Haute’ ke senior journalist Hassan Choudhary ke zariye ek exclusive bayan me ki hai.