Maroof director Yasir Nawaz ki behan Anzalna Nawaz ne drama serial ‘Dar-e-Nijat’ ki kahani ko apni shakhsi zindagi se mushabeh qarar diya hai. Unhon ne bataya ke jawani me wo bhi kirdar Zaryab ki tarah aik larke ki muhabbat me pagal thin aur apni bewaqoofi par unhein aaj tak afsoos hai.