‘Kharab Editing Ne Scene Tabah Kar Diya’: ‘Zanjeerain’ Ke Key Scene Katne Par Usman Javed Ka Mayoosi Ka Izhaar

Maroof adakar Usman-Javed ne drama ‘Zanjeerain’ mein apne kirdar Torsum-Khan ke aik ahem scene ko editing ke zariye hataye jane par mayoosi ka izhar kiya hai. Unka kehna hai ke is scene ke baghair kirdar ka taaruf aur uski kahani ka ahem pehlu adhoora reh gaya. Social media users ne bhi ghair-maayari editing par drama makers ko tanqeed ka nishana banaya hai.
Wasim Akram Aur Shaniera Ka Hajj Par Saath Na Jaane Ki Wajah Ka Inkishaaf

‘Maroof former cricketer Wasim Akram ne Shaniera ke sath Hajj par na jaane ki wajah batadi hai. Unhon ne kaha ke pehle Shaniera Umrah karke is ibadat ko samjhein gi, jabke Shaniera ne bataya ke wo Hajj par Wasim ka dhyan bhatkana nahi chahti thin taake wo apna yeh khusoosi safar poora kar sakein.
‘Chhote Bachon Ko Professional Models Ki Tarah Ramp Walk Na Karwayein’: Imran Abbas Ka Fashion Industry Par Ahem Paigham

Imran Abbas ne kam umar ladkiyon ke fashion shows me ramp walk karne par tahaffuz ka izhar kiya hai. Unhon ne waldain se appeal ki ke bacchon ko professional models ki tarah ramp par chalne na dein, kyun ke hum aik gidh numa muashre me reh rahe hain. Unhon ne bacchon ki hifazat ko pehli tarjeeh dene par zor diya.
‘Ramp Walk Se Sab Ko Impress Kar Diya’: Kashee’s Bridal Festive Show Mein Child Star Aayat Arif Ki Dazzling Appearance

Child star Aayat Arif ne Kashee’s Bridal Festive 2026 me ramp walk karke sab ko hairan kar diya. Expo Center Karachi me hone wale is show me unhon ne Alizeh Shah aur Sunita Marshall jaise bade naam ke sath walk ki. Un ki is graceful appearance ki clips social media par kafi pasand ki ja rahi hain.
‘Feroze Khan Se Bara Disappointed Hua’: Nadeem Mubarak Ka Feroze Khan Aur Unki Walida Ke Hawale Se Bara Inkishaaf

Nadeem Mubarak ne Feroze Khan par mayoosi ka izhar karte hue aik bara bayan diya hai. Unhon ne bataya ke Feroze ki ammi ne Anas se kaha tha ke Feroze ko tum ne hi sambhalna hai, kyun ke unki pehli biwi ne unhein kisi joga nahi chhora tha. Unka yeh bayan social media par viral hai.
‘During Pregnancy Dhoka Diya’: Sannia Ashfaq Ka Imad Wasim Par Bewafai Aur Doosri Shaadi Par Inkishaaf

Maroof cricketer Imad Wasim ki purani biwi Sannia Ashfaq ne apni shadi me milne wale dhoke par khul kar baat ki hai. Unhon ne bataya ke haamla hone ke bawajood Imad ne unhein chhor kar Nyla Rajah ke sath rishta qaim kiya aur rishta bachaney ki har koshish ko nakam bana diya.
‘Mardon Ki Behtar Tarbiyat Karein’: Dur-e-Fishan Saleem Ka Mardon Ki Zimmedari Par Ahem Paigham

Maroof actress Dur-e-Fishan Saleem ne mardon ki tarbiyat aur zimmedari par aik ahem paigham share kiya hai. Unhon ne waldain se behtar mardon ki tarbiyat karne ki appeal ki aur adult mardon ko apne rawaiye ki zimmedari lene ka mashwara diya. Unke is bayan pe fans ne unko appreciate kiya.
‘Baccha Hone Ke Baad Rawaiya Kaisa Ho’: Nida Yasir Ka Maaoon Ko Beton Ki Tarbiyat Par Mashwara

Maroof host aur actress Nida Yasir ne maaoon ki tarbiyat par ahem mashwara diya hai. Unhon ne kaha ke maaoon ko apne beton ko yeh bhi sikhana chahiye ke baccha paida hone ke baad biwi ke sath kaisa rawaiya rakhna hai. Unka yeh bayan parenting ke muamle me kafi pasand kiya ja raha hai.
‘Haqdar Hone Ke Bawajood Mauqe Doosron Ko Mile’: Arslan Naseer Ka Showbiz Industry Par Bebaak Bayan

Maroof actor Arslan Naseer ne showbiz industry me hone wali ziyaadati par dil ka haal bayan kiya hai. Unhon ne bataya ke haqdar hone ke bawajood jab mauqay doosron ko diye gaye toh unhein kafi mayusi hui. Unka yeh bayan social media par fans ke darmayan kafi zair-e-behas hai.
‘Boundaries Na Hotin To Hamare Actors Wahan Top Pe Hotay’: Bushra Ansari Ka Pak-Bharat Adakaron Par Bayan

Pakistan ki Maroof senior actress Bushra Ansari ne Pakistani actors ke Talent ki tareef karte hue bayan diya hai. Unka kehna hai ke agar Pak-Bharat sarhadain aur pabandiyan na hoti, toh Pakistani adakar Bharat me bhi top positions par hotay. Unka yeh bayan social media par kafi zair-e-behas hai.