‘Ghar Wapas Le Jayein!’: Shohar Rajab Butt Ki Salgirah Par Aamad Par Emaan Fatima Ho Gayi Jazbaati, Fans Ka Mukhtalif Radd-e-Amal

Eman Fatima ne apne bete Kivan ki saalgirah par shohar Rajab Butt ki aamad par jazbati bayan diya hai. Unhon ne umeed zahir ki ke Rajab unhein aur bete ko wapas ghar le jayenge. Larai ke baad is achanak mulaqat par fans ki taraf se mukhtalif radd-e-amal samne aa rahe hain.
‘Galti Meri Nahi, Logon Ki Nazron Ki Hai’: Item Song Par Adakaara Aliya Ali Ke Anokhe Bayan Par Awaam Ka Radd-e-Amal

Maroof adakara Aliya Ali ne apne purane item song ka difa karte hue naya tanaza khada kar diya hai. Unhon ne kaha ke asal masla logon ki nazron ka hai, un ke kapron ka nahi. Un ke is bayan par social media users unhein shadeed tanqeed ka nishana bana rahe hain.
‘Jab Aap Chalti Hain Toh Lagta Hai Sher Aa Raha Hai’: Late Irrfan Khan Ke Saba Qamar Par Kahe Gaye Alfaaz

Pakistani adakara Saba Qamar ne Bollywood film ‘Hindi Medium’ mein Irrfan Khan ke sath kaam karne ke tajurbe ko yaad kiya hai. Unhon ne bataya ke Irrfan Khan un ki shakhsiyat ki tareef karte hue kehte the ke un ki chaal aik leader jaisi hai aur woh sher jaisi lagti hai.
‘Glamorous Birthday Bash!’: Adakara Amar Khan Ne Shaan Shahid Aur Doston Ke Sath Dhoom Dhaam Se Salgirah Manai

Pakistan Drama actress Amar Khan ne doston ke sath apni salgirah ka jashan manaya hai. Party mein unhon ne strapless jumpsuit pehna aur jewellery ke sath glamorous look ikhtiyar kiya. Shaan Shahid samet industry ke kai doston ne shirkat ki, jabke fans ne bhi unhein salgirah ki mubarakbaad pesh ki.
‘Teeno Saath Aayi To Screen Phat Jayegi!’: Saba Qamar Ka Mahira Khan Aur Mehwish Hayat Ke Saath Kaam Karne Par Bara Bayan

Maroof adakara Saba Qamar ne Mahira Khan aur Mehwish Hayat ke sath kaam karne ki khwahish ka izhar kiya hai. Saba ne mazaqia andaz mein kaha ke agar hum teeno aik sath screen par aayi toh screen hi phat jayegi. Fans teeno top actresses ko aik sath dekhne ke liye behad excited hain.
‘Ranbir Kapoor Ke Sath Kyun Nahi?’: Bollywood Actor Ke Sath Kaam Karne Par Saba Qamar Ka Dilchasp Bayan

Pakistani superstar Saba Qamar ne Bollywood actor Ranbir Kapoor ke sath kaam karne ki khwahish zaahir ki hai. Shaukat Khanum ke aik event par fan ke sawal ka jawab dete hue Saba ne Ranbir Kapoor ka naam liya aur mazaqia andaz mein kaha, “Why not?”. Fans is Jodi ko screen par dekhne ke liye excited hain.
‘Mahira Se Pehle Kareena Pehli Choice Thi!’: Haroon Shahid Ka Film ‘Verna’ Ke Baare Mein Bara Inkishaaf Viral

Pakistani actor Haroon Shahid ne ‘Verna’ film ke baare mein chonkane wala inkishaf kiya hai. Unhon ne bataya ke Mahira Khan se pehle Kareena Kapoor ko is film ke liye lead role mein lene par baat chal rahi thi. Kareena ne pregnancy ki wajah se is project se peeche hatne ka faisla kiya.
‘Bara Hone Se Dar Lagta Hai’: Adakara Aina Asif Ka Zindagi Aur Responsibilities Par Bara Bayan

Maroof adakara Aina Asif ne ‘Good Morning Pakistan’ mein baat karte hue kaha ke unhein bade hone se darr lagta hai. Unhon ne bataya ke baron ko hamesha pareshani mein dekh kar wo khaufzada ho jati hain, kyun ke bada hone ka matlab responsibilities ka bojh utha na hai.
‘Umera Ahmed Ki Nayi Kahani’: Drama Serial ‘Rutba’ Mein Hiba Bukhari Aur Talha Chahour Ki Jodi Dhoom Machane Ko Tayyaar

Maroof adakar Hiba Bukhari aur Talha Chahour jald hi ARY Digital ke naye drama ‘Rutba’ mein aik sath nazar aayenge. Umera Ahmed ke likhe aur Haseeb Hassan ke direct kiye gaye is drame ke teasers ne viewers ko behad mutassir kiya hai, jismein islami aur mazboot kahani dikhayi gayi hai.
‘Ye Hota Hai Asli Pyar!’: Hania Aamir Ke Naye Gaane Par Asim Azhar Ka Dil Jeet Lene Wala Bayan Viral

Singer Asim Azhar ne Hania Aamir ke naye gaane ‘Pablo’ ki shandarr tareef ki hai. Showbizz mein 10 saal poore hone par Hania ke is gaane ko Asim ne aik behtareen paigham qarar diya. Un ke is bayan ke baad social media par fans ne dono ki chemistry aur muhabbat par khulkar baat shuru kar di hai.