Kya Ye Mahira Khan Hain Ya Nora Fatehi?

Mahira Khan ke new photoshoot ne social media par aik nayi behas cherdi hai. Fans ka manna hai ke Mahira Khan ne apne is naye avatar mein bilkul Bollywood star Nora Fatehi ko copy kia hai. Bohat se logon ne unke is “b*ld” look par hairat ka izhaar kiya hai.
Log Pathar Ke Zamane Se Kaam Kar Rahe Hain Aur Ab Ja Kar Hit Hue Hain, Javeria Saud Ki Yumna Zaidi Par Tanqeed

Javeria Saud ne Eid show ke doran Yumna Zaidi ki umar aur career par tanqeed kardi. Yumna ne is par kaha ke show mein dikhayi gayi bachpan ki tasveer hi jhooti thi. Unhon ne Javeria ko verify kar ke baat karne ka mahswara diya. Social media par fans Javeria ke is rawayye ki sakht mazammat kar rahe hain.
“Main Na Zyada Conservative Hoon Na Liberal” Ali Ansari Ka Apni Mazhabi Soch Aur Zindagi Guzarne Ke Andaaz Par Bara Bayan

Ali Ansari ne apni soch par khul kar baat karte hue kaha ke wo na zyada (conservative) hain aur na hi zyada liberal. Unka manna hai ke wo darmiyaana rasta pasand karte hain aur mazhab ko balance ke saath zindagi ka hissa banate hain. Ali ka ye bayan social media par kaafi tawajjo hasil kar raha hai.
“Resham Aik Behtareen Insan Hain, Doosron Ki Tazleel Band Karo” Mishi Khan Ka Deedar Ke Bayan Par Shadeed Rad-E-Amal

Mashhoor host Mishi Khan ne Deedar ki janib se Resham par lagaye gaye ilzamaat ka karara jawab de diya. Mishi ne kaha ke ratings ke liye doosre adakaaron ki tazleel band honi chahiye. Unhon ne Resham ko aik behtareen insan qarar dete hue kaha ke jo log unki niji zindagi par baat kar rahe hain, wo pehle apne gireban mein jhaankein.
“Gas Nahi Aati Magar Bill 26 Hazaar Kya Main Gas Kha Rahi Hoon?”: Sadia Imam

Sadia Imam ne gas ke bhari bills par hukumat par kadi tanqeed kardi. Unhon ne gussay mein sawal kiya ke gas na hone ke bawajood 26 hazaar bill kaise agaya? Sadia ka kehna hai ke itne bhari bill dekh kar aisa lagta hai jaise wo gas kha rahi hain. Unka ye bayan mehangai se pareshan awaam ki bharpoor tarjumani kar raha hai.
“Meera Khamoshi Se Aag Se Guzar Gayi” Adakaara Ka Apni Zindagi Ki Androoni Jangon Par Jazbaati Paighamaat

Meera ne social media par apni zindagi ki mushkilaat ke bare mein aik gehri baat share kardi. Unhon ne kaha ke har mazboot aurat ki zindagi mein aik aisa chapter hota hai jo wo kabhi bayan nahi karti. Aur bataya unhon ne bhi khamoshi se mushkil waqt guzara hai aur wo aaj bhi har mushkil ka samna karne ke liye khari hain.
“Numbers Sab Kuch Bayan Karte Hain” Ali Ansari Ka Sajal Aly Ke Muqablay Mein Apna Drama Zyada Hit Hone Par Dilchasp Inkishaaf

Ali Ansari ne Sajal Aly ke muqablay mein apna drama hit hone par khul kar baat ki. Unhon ne kaha ke Sajal ka drama “Dil Wali Gali Mein” production ke lehaaz se behtar tha, magar views aur ratings mein unka drama baazi legaya. Ali ne industry ke makhsoos “groups” par bhi tanqeed ki aur naye logon ko mauqa dene ka mashwara diya.
“Bohat Baray Drame Mein Jald Araha Hun” Tabish Hashmi Ka Film Debut Ke Baad Acting Mein Bara Dhamaka Karne Ka Elan

Mashhoor host Tabish Hashmi ne apni film “Aag Lagay Basti Mein” ki kamyabi ke baad aik aur bara inkishaaf kar diya. Hassan Choudary se baat karte hue unhon ne bataya ke wo bohat jald aik “bohot baray drama project” mein nazar anay walay hain. Film debut ke baad ab fans unhein dramas mein acting karte dekhne ke liye be-tab hain.
“Mera Account Hack Hua Tha” Naseem Shah Ka Maryam Nawaz Par Tanqeedi Tweet Se Inkaar, PCB Ne Show-Cause Notice Jari Kar Diya

Naseem Shah ne CM Punjab Maryam Nawaz ke khilaaf viral tweet se la-taluqi ka izhaar kar diya. Tweet mein Maryam Nawaz ke stadium anay par tanqeed ki gayi thi, jisay Naseem ne “account hack” honay ka nateeja qarar diya hai. Is controversy ke baad PCB ne Naseem Shah ko show-cause notice jari kar ke unse wazahat talab kar li hai.
Shaan Shahid Aur Sara Loren Ke Bharat Mein Kaam Karne Par Mukhtalif Nazaryaat

Shaan Shahid aur Sara Loren ne Bharat mein kaam karne par mukhtalif raye ka izhaar kiya hai. Shaan ka kehna hai ke wahan adakaaron ko wo izzat nahi milti jo Pakistan mein hai, isliye unhon ne wahan kaam na karne ka faisla kiya. Sara Loren ne ikhtelaf karte hue kaha ke Bollywood mein kaam karne se artist ko behtareen exposure milta hai.