Maroof adakara Aliya Ali ne apne purane item song ka difa karte hue naya tanaza khada kar diya hai. Unhon ne kaha ke asal masla logon ki nazron ka hai, un ke kapron ka nahi. Un ke is bayan par social media users unhein shadeed tanqeed ka nishana bana rahe hain.