Pakistani adakar Muneeb Butt ne mardon aur aurton ke rishton par aik gehra bayan share kiya hai. Unhon ne kaha ke aurat ka na-pasandida mard kitna hi daulatmand aur haseen kyun na ho, aurat ki nazar mein wo do takke ka hi rehta hai. Unka yeh bayan social media par kafi viral ho raha hai.