Adakara Mehwish Hayat ne logon se darkhwast ki hai ke adakaron par tanqeed karte waqt narmi ikhtiyar karein. Unka kehna hai ke performance par baat karna sahi hai, lekin kisi ki shakal ya huliye ka mazaak banana ghalat hai. Har shakhs seekh raha hota hai, isliye unhein aage badhne ka mauka dena chahiye.