“Logon Ko Showbiz Walay Awara Lagte Hain” Humayun Ashraf Ka Inkishaf

Adakaar Humayun Ashraf ne showbiz se judge hone par baat ki hai. Unka kehna hai ke aksar log industry ke actors or actresses ko “awara” samajhte hain, jo ke bilkul ghalat hai. Humayun ne zor diya ke screen ke peeche log bohat mehnati, ba-usool aur sakht discipline ke paband hote hain.

Omer Shahzad Aur Shanzay Lodhi Ki Shadi Ki Pehli Anniversary

Omer Shahzad aur Shanzay Lodhi ne apni shadi ki pehli saalgirah ghar par manayi. Dono ne black outfits pehen kar red candles aur balloons ke sath is din ko yaadgaar banaya. Shanzay ne Omer ke liye aik jazbati note share karte hue unhen apna “soulmate” qarar diya aur unki mohabbat ka shukriya ada kiya.

Javeria Saud Ka Tabish Hashmi Ke “Planted Calls” Bayaan Par Sakht Jawab

Javeria Saud ne Tabish Hashmi ko unki tanqeed par mun tor jawab diya hai. Tabish ne morning shows aur Ramadan transmissions mein ratings ke liye “planted calls” ko ghalat kaha tha. Javeria ne palat kar jawab diya ke Tabish khud sara saal double meaning jokes se ratings lete hain aur ab doosron ki kamyabi hazam nahi kar pa rahe.

Tabish Hashmi Ka Iqrar-Ul-Hassan Ki Tarah Siyasat Mein Janay Se Inkaar

Tabish Hashmi ne siyasat mein aane ke sawal par kaha ke wo filhal sirf apne kaam par tawajjo dena chahte hain. Unka kehna tha ke khali jaib reh kar awam ki khidmat nahi ho sakti, pehle unhen paise kamane hain. Tabish ne mazeed kaha ke wo Iqrar ul Hassan ki tarah 21 saal baad hi aisa koi faisla karenge.

Mehreen Jabbar Ko “Dr. Bahu” Naam Pasand Nahi Tha; Directing Ki Wajah Bata Di

Director Mehreen Jabbar ne inkishaf kiya hai ke wo shuru mein apne drame ka naam “Dr. Bahu” rakhne ke haq mein nahi thin. Unhon ne bataya ke Nadeem Baig aur Humayun Saeed ke israr par unhon ne ye project pakra. Mehreen ke mutabiq, ye drama sirf saas-bahu ki kahani nahi balkay is mein bohat si gehri batein mojood hain.

Hamza Ali Abbasi Ka Apne Upar Lagne Wale Ilzamaat Par Jawab

Hamza Ali Abbasi ne bataya ke aik bayaan ki wajah se un par blasphemy ka ilzaam laga aur sakht tanqeed ki gayi. Unhon ne kaha ke logon ne unhen Islam se kharij qarar de kar dobara kalma parhne aur Nikah dohrane tak ka mashwara de dala tha. Hamza ke mutabiq, unhen is silsile mein kai warning calls ka bhi samna karna para.