Hamza Ali Abbasi ne bataya ke aik bayaan ki wajah se un par blasphemy ka ilzaam laga aur sakht tanqeed ki gayi. Unhon ne kaha ke logon ne unhen Islam se kharij qarar de kar dobara kalma parhne aur Nikah dohrane tak ka mashwara de dala tha. Hamza ke mutabiq, unhen is silsile mein kai warning calls ka bhi samna karna para.