Fiza Ali Ki Shadi Ki Kahani Jhoot? Dost Ne Asal Haqeeqat Bata Di

Fiza Ali ki UK wali dost ne adakaara ki G-Wagon wali mulaqaat ki kahani ko jhutla diya hai. Dost ka kehna hai ke Ejaz se mulaqaat koi ittefaq nahi balkay aik mansuba tha. Unhon ne mazeed bataya ke Fiza apni nakam shadiyon par pareshan thin aur unhon ne khud Ejaz se milne ki khwahish ki thi.
Dr. Nabiha Ali Khan Ka Sasural Se Maafi Maangne Aur Sulah Ka Inkishaf

Dr. Nabiha Ali ne apne susral ke mamlaat par khamoshi tor di hai. Unhon ne bataya ke unhon ne apni ana (ego) ko qurban kar ke apne saas susar se maafi mang li hai taake rishta bacha saken. Haris Khokhar ka kehna hai ke unke maa baap ne bhi ab Nabiha ko maaf kar diya hai aur maamlat behtar ho rahe hain.
“Mujhe Caroron Ki Offer Hui Magar Maine Mana Kar Diya!” Fiza Ali Ka Apne Haq Meher Par Bara Inkishaf

Fiza Ali ne inkishaf kiya hai ke unhon ne sirf 5 se 7 hazar rupay Haq Meher ki farmaish ki thi, magar unke shohar unhen caroron ki property dena chahte thay. Bil-akhir 10 lakh rupay Haq Meher likha gaya. Fiza ne kaha ke unhon ne koi bhari zewarat ya bari rakam ki shart nahi rakhi, kyunke unke liye rishta paison se zyada ahem hai.
“Shaidai” Mein Bollywood Film “Animal” Ki Copy? Feroze Khan Aur Sahar Hashmi Ka Scene Viral

Feroze Khan ke naye drame “Shaidai” ke OST par Bollywood film “Animal” ke scenes copy karne ka ilzaam lag gaya hai. Fans ne note kia hai ke Feroze aur Sahar ka scene Ranbir Kapoor ki film se bilkul milta julta hai. Social media par log is naqal par drama makers ko shadeed tanqeed ka nishana bana rahe hain.
“Showbiz Sets Par Kaam Karna Azaab Ban Gaya!” Ushna Shah Ka Production Life Ki Talkh Haqeeqat Par Inkishaf

Ushna Shah ne showbiz sets par kaam ke shadeed dabao aur sakht schedules par khul kar baat ki hai. Unhon ne bataya ke production life zehni aur jismani sehat ko mutaasir kar rahi hai. Ushna ne management ki support aur tax relief ki kami par bhi baat ki aur screen ke peeche ki talkh haqeeqat bayan ki.
Samar Jafri Aur Aashir Wajahat Ki Throwback Photo Viral

Film “Na-Baligh Afraad” ki maroof jori, Samar Jafri aur Aashir Wajahat, ne bachpan ki aik haseen yaad taza ki. Social media par share ki gayi is tasveer ne sabit kar diya ke “Mazhar aur Fakhar” ki dosti screen par anay se bohat pehle ki hai. Fans is throwback photo ko dekh kar dono adakaaron ki gehri dosti ki tareef kar rahe hain.
“90% Actors Ghareeb Hain!” Kanwar Arsalan Ka Showbiz Ki Jhooti Chamak Par Hairat-Angez Bayan; “Kidney Bech Kar Emaar Mein Rehte Hain”

Kanwar Arsalan ne dawa kiya hai ke 90% adakar ghareeb hain aur sirf dikhaway ke liye mehangay ilaqon mein rehte hain. Unhon ne tanz karte hue kaha ke adakar apni “kidney bech kar” Emaar jaise posh projects mein ghar lete hain taakay log unhen ameer samjhein. Unke mutabiq showbiz ki reality bohat mukhtalif hai.
“Saba Qamar Se Mili To Rona Shuru Kar Diya!” Kiran Ashfaq Ka Adakara Ke Liye Deewangi Ka Inkishaf

Kiran Ashfaq ka Saba Qamar ke liye deewangi ka izhaar, Unhone bataya ke wo unse milkar khushi se ropari thin. Kiran ka manna hai ke drama “Muamma” mein ‘Jiji’ ka role Saba ke siwa koi nahi nibha sakta tha. Unhon ne mazeed kaha ke wo Saba ki itni barri fan hain ke unke sath sirf khara hona bhi unke liye khush-qismati hoti.
Iqrar-Ul-Hassan Ka 21 Saala Anchoring Career Khatam; “Awam Raj Party” Ke Sath Siyasat Mein Qadam! Farah Iqrar Ne Shohar Ke Naye Safar Par Hosla Barha Diya.

Iqrar-ul-Hassan ne 21 saal baad anchoring chhorne ka faisla kiya, Aur siyasat ka aghaz kar diya hai. Unhon ne “Awam Raj Party” ke sath apna naya safar shuru kiye hai. Is moqay par unki second wife Farah Iqrar ne social media par unki bahaduri ki tareef ki aur sath kaha ke woh siyasat mein bhi awam ki umeed banenge.
Agar Kisi Ki Dil-Azari Hui Hai To Main Maafi Maangti Hoon: Fiza Ali Ki Live Show Controversy Par Maafi

Fiza Ali ne live show mein shohar ke hathon uthaye jane par hone wali shadeed tanqeed ke baad video paigham ke zariye maafi maang li hai. Unhon ne wazeh kiya ke wo aik family moment tha aur unka maqsad behayayi phelana nahi tha. Aur fiza ali ne kaha agar kesi ki dil-azari hui hai toh woh maafi mangti hain.