Iqrar-ul-Hassan Ki Safai Ke Bawajood, Airport Controversy Mein Awam FIA Afsar Ke Saath Khari Ho Gayi

Iqrar-ul-Hassan ne airport par FIA afsar ke saath hone wali controversy par apni safai pesh ki hai. Unhon ne kaha ke wo nahi chahte ke us afsar ki naukri jaye, lekin un par hone wale tanqeed ki wajah se unhen bayan dena para. magar log ab bhi FIA afsar ke saath kharay hain.
Online Haters Ke Khilaaf Sakht Alfaaz Ka Istemal; Alizeh Shah Ko Social Media Par Tanqeed Ka Samna

Alizeh Shah ne un par tanqeed karne walon ko sakht jawab diya hai, jis ke baad wo ek baar phir behas ka markaz ban gayi hain. Alizeh ne social media par haters ke liye sakht alfaz istemal kiye, jis par fans naraz hogaye. Kuch log ise pressure ka natija keh rahe hain to kuch unke andaz par sawal utha rahe hain.
Kya Drama “Kafeel” Aik Sachi Kahani Par Mabni Hai?

Umera Ahmed ne bataya hai ke drama “Kafeel” aik sachi kahani par mabni hai. Unhon ne inkishaf kiya ke aik khatoon ne 20 saal aise shohar ke saath guzare jo kharch nahi uthata tha. Social media par khawateen ka kehna hai ke ye kahani hamare muashre ki talkh haqeeqat hai aur unhon ne apne gird aisi sachi misalein dekhi hain.
“Ye Jitne Bhi Actors Hain, Apne Disney World Mein Khush Hain” Shaan Shahid On Working With Humayun Saeed And Fahad Mustafa

Shaan Shahid se jab pucha gaya ke kya wo Humayun Saeed aur Fahad Mustafa ke saath kaam karenge, to unhon ne kaha ke ye dono apne hi”Disney World” mein khush hain. Shaan ke mutabiq ye dono makhsoos kirdaron aur romcoms mein masroof hain jo awam ko pasand aate hain.
Money Scandal Ke Baad Dr. Fazeela Abbasi Ka Lavish Vacation; Social Media Par Shadeed Tanqeed Aur Trolling

Dr. Fazeela Abbasi ne money laundering scandal ke baad apni vacation ki video share ki hai, jis par log unhen sakht troll kar rahe hain. Viewers ka kehna hai ke itni bari raqam ke ghaban ke ilzamaat ke baad aisi mehngi vacation manana hairat angez hai. Kai logon ne unhen “money laundering expert” aur dhokay baaz bhi kaha.
Kafeel Mein Behtareen Kaam Ke Baad, Areeka Haq Aik Baar Phir Bade Project Pe Nazar Aayengi

Areeka Haq ka Pakistani popular Drama ‘Kafeel’ mein shandaar kaam ke baad, Areeka Haq ab Abu Aleeha ki nayi crime thriller film ‘Bhanwar’ mein nazar aayengi. Is film mein wo aik bahut ahem kirdar nibha rahi hain. Fans unke is naye project ka besabri se intezar kar rahe hain.
SRK Chahte Thay Ke Ali Zafar ‘Dard-E-Disco’ Gayen; Ali Zafar Ka Dilchasp Inkishaf

Ali Zafar ne inkishaf kiya hai ke Shah Rukh Khan chahte thay ke wo ‘Dard-e-Disco’ gaana gayen, magar masroofiyat ki wajah se ye mumkin na ho saka. Ali ne bataya ke SRK ne unki pehli Bollywood film ‘Tere Bin Laden’ dekh kar unhen khud appreciation message bhi bheja tha.
“Kisi Rishte Ko Kitni Bhi Mohabbat Se Bandha Jaye, Lekin Agar Izzat Aur Lihaaz Chala Jaye Toh Mohabbat Bhi Chali Jati Hai” Emaan

Social media par Emaan ka aik quote tezi se viral ho raha hai jis mein unhon ne rishton mein izzat ki ahmiyat par baat ki hai. Unka kehna hai ke kisi bhi rishte mein mohabbat chahe kitni hi zyada kyun na ho, agar izzat aur lihaaz khatam ho jaye to mohabbat bhi khatam ho jati hai.
Ayeza Khan Ka Bhai Banne Par Nameer Khan Ka Hilarious Statement Viral

Nameer Khan ne show ‘Hasna Mana Hai’ mein Ayeza Khan ke bhai ka role nibhane par dilchasp baat ki hai. Unhon ne mazaqia andaz mein kaha ke showbiz mein jagah banane ke liye wo Ayeza ka bhai banne ko foran tayyar ho gaye thay. Is kirdar ne unhen industry mein pehchaan dilwane mein madad ki.
“Main Shadi Ke Liye Tayyar Hoon” Rishta Na Milne Par Meera Ka Reporters Ko Dilchasp Mashwara

Meera ne press conference mein kaha ke wo shadi ke liye bilkul tayyar hain magar unke paas koi rishta nahi hai. Unhon ne mazaqiya andaz mein reporters se kaha ke “Aap log mere susral wale hain, ab aap hi mere liye koi rishta dhoond kar layein.” Meera ki ye video social media par tezi se viral ho rahi hai.