Momina Iqbal Ka Apne Marhoom Waalid Ke Liye Intihai Jazbaati Aur Dil Ko Chhoo Lene Wala Paigham

Adakaara Momina Iqbal ne apne marhoom waalid ke liye aik nihayat jazbaati paigham share kiya hai, jis ne boht se logon ko rula diya. Unhon ne bataya ke waalid ke bicharne ka gham aaj bhi unke saath hai aur wo unhein har mushkil waqt mein yaad karti hain. Fans Momina ki is himmat aur sadgi ki boht tareef kar rahe hain.
Harvard Mein Taqreer Ke Baad Fans Ne Mahira Khan Ko “Real Queen” Ka Khitab De Diya

Pakistan ki talented superstar Mahira Khan ki Harvard Business School mein di gayi taqreer viral ho gayi hai. Fans unhein “Real Queen” keh rahe hain kyunke unhon ne wahan Pakistan ko represent kia. Mahira ne apni zindagi ki nakamiyon aur kamyabiyon par baat karte hue sab ko hosla diya.
“Maine Mulk Chora Hai, Becha Nahi”; Sajjad Ali Ka Indian Citizenship Thukrane Par Patriotic Jawab

Pakistani semi classical singer Sajjad Ali ne inkishaf kiya hai ke unhon ne India se milne wali indian citizenship ki offer thukra di thi kyu ke Unka kehna tha ke unhon ne apna mulk chora hai, baicha nahi. Is mardana jawab ne har Pakistani ka dil jeet liya hai.
Attention Seeking Ya Kuch Aur? Hania Aamir Ne Pehna Asim Azhar Ke Naam Ka Bandana

Hania Aamir aur Asim Azhar ke dubara saath hone ki khabron ne dhoom macha di hai. Hania ko Asim ke USA concert mein unke naam ka bandana pehne dekha gaya, jis se unke rishte ki tasdeeq ho rahi hai. Kuch fans is jori ki wapasi par khush hain, jabke kuch maazi ke jhagron ki wajah se unhein troll kar rahe hain.
Atif Aslam Ke Purane Gaano Ka Jadu Aaj Bhi Sar Chadh Kar Bol Raha Hai!

Music Industry ke King Atif Aslam ka jadu aaj bhi sar chadh kar bol raha hai. Spotify ki report ke mutabiq, Atif Aslam ke purane gane aaj bhi trending list par hain. Atif ne music industry ke liye be-hisab kaam kiya hai aur yahi wajah hai ke naye singers ke anay ke bawajood, Atif ka muqabla koi nahi kar saka!
Jab Hum Kisi Shakhs Ko Bata Dete Hain Ke Hum Uske Saath Har Haal Mein Reh Sakte Hain, Toh Woh Shakhs Phir Humein Har Haal Se Guzarta Hai: Nausheen Shah

Adakaara Nausheen Shah ne rishton ke bare mein aik gehri baat share ki hai. Unka kehna hai ke jab hum kisi ko ye yaqeen dila dete hain ke hum har haal mein unke saath rahenge, to wahi shakhs hamein mushkil halat se guzarta hai. Nausheen ki ye baat social media par tezi se viral ho rahi hai.
Here to Understand The Hype Of MZHT, Indian Actor Nakuul Mehta Bhi Hype Dekhne Ke Liye Maidan Mein Aa Gaye

Mashhoor indian actor Nakkul Mehta Pakistani drama ‘Meri Zindagi Hai Tu’ ke deewane ho gaye hain. Unhon ne social media par bataya ke wo Hania Aamir aur Bilal Abbas ke is drame ki maqbooliyat ki wajah janne ke liye isay dekh rahe hain. Fans dono mulkon ke darmiyan is mohabbat ko boht pasand kar rahe hain.
“Skin Perfect Nahi Hoti,” Dananeer Mobeen Ka Fans Ke Naam Ahem Paighaam

Dananeer Mobeen ne social media par apni skin ke bare mein khul kar baat ki. Unhon ne bataya ke pichle kuch mahino mein unhen acne aur skin ke masail ka samna karna para, jis ki wajah se wo hamesha filtered photos jaisi nahi dikhtin. Dananeer ne logon se guzarish ki hai ke wo adakaaron ke saath thori narmi se pesh aayein.
Mashhoor Drama ‘Noor Jahan’ Ka Prequel ‘Noor Bano’ Jald Aayega; Director Mussadiq Malik Ne Tasdeeq Kar Di

Mashhoor drama ‘Noor Jahan’ ke director Mussadiq Malik ne tasdeeq ki hai ke is dramay ka prequel (shuruat ki kahani) jald aa raha hai, jiska naam ‘Noor Bano’ hoga. Is naye dramay mein Noor Jahan ki bahu ki purani zindagi ki kahani dikhayi jaye gi. Fans is khabar ko sun kar boht zyada khush aur excited hain.
Momina Mustehsan Ke Billion Views Ka Record Aur Industry Se Unki Achanak Khamoshi Ka Raaz

“Afreen Afreen” aur “Baari” jaisay mega hits se dunya bhar mein dhoom machanay wali Momina Mustehsan achanak industry se gayab kyun ho gayeen? Billion views ka record rakhnay wali singer ne top par honay ke bawajood music se doori ikhtiyar kar li hai. Fans hairan hain ke itne super hits dene ke baad Momina ab kam Kyu nahi kar rahi hain.