Alizeh Shah ne un par tanqeed karne walon ko sakht jawab diya hai, jis ke baad wo ek baar phir behas ka markaz ban gayi hain. Alizeh ne social media par haters ke liye sakht alfaz istemal kiye, jis par fans naraz hogaye. Kuch log ise pressure ka natija keh rahe hain to kuch unke andaz par sawal utha rahe hain.