Skip to content
Saved
Home

Author: Muntaha

‘Middle-Class Zindagi Ka Anokha Tajurba!’: Drama ‘Dar-e-Nijaat’ Mein Zaryab Ki Rickshaw Ride Aur Kharidaari Par Fans Ke Tabsiray

Drama ‘Dar e Nijaat’ ke naye episode mein Zaryab ki shaadi ke baad aam middle-class zindagi ka Tajurba samne aya hai. Saas Khushbakht ne usay local clinic aur bazar ki sair karwai, jahan rickshaw ki ride aur sadhe kapron ki kharidari par fans is nayi saas-bahu ki jori ko behad pasand kar rahe hain.

‘Madina Mein Shaadi Ki Viral Khabar!’: Maroof TikToker Faisu Ki Shadi Ke Charchon Ne Social Media Par Dhoom Macha Di

Maroof Indian TikToker Faisal Shaikh (Faisu) ki Madina mein shadi ke hawale se social media par khabrein aur tasaveer tezi se viral ho rahi hain, Faisu ne Madina mein nikkah kiya hai, jis par unke chahnay walon ki janib se hairangi aur mubarakbaad ka silsila shuru ho gaya hai.

‘Buzurg Shakhs Ko Gale Lagane Par Hungama!’: Adakaara Shameen Khan Ki Music Launch Se Viral Video Par Fans Shadeed Khafa

Maroof adakara Shameen Khan ne ‘Mango Jutt’ ki music launch taqreeb mein pink dress pehan kar shirkat ki, jahan unki aik buzurg shakhs ke sath mulaqaat aur gale lagne ki video viral ho gayi. Is viral video ko dekh kar social media sarfeen aur fans shadeed hairangi ka shikar hain aur tanqeed kar rahe hain.

‘Shandar Adakaari Aur Hardcore Punjabi Par Tareefon Ke Pul!’: Drama ‘Mitti De Baway’ Mein Amar Khan Ki Performance Ne Sab Ka Dil Jeet Liya

Drama serial ‘Mitti De Baway’ mein adakara Amar Khan ki shandar adakari aur unke mazboot Punjabi dialogues ko sarraha ja raha hai. Sarfeen unki jazbati adakari aur hardcore Punjabi par aboor ki bharpoor tareef kar rahe hain. Yeh performance shaiqeen ko behad pasand aa rahi hai aur social media par dhoom macha rahi hai.

‘Singing Se Acting Ka Safar!’: Singer Aima Baig Ke Film ‘JPNA 3’ Se Acting Debut Ki Khabar Ne Dhoom Macha Di

Maroof Pakistan ki Mashhoor singer Aima Baig ke hawale se yeh reports samne aayi hain ke wo film ‘Jawani Phir Nahi Ani 3’ se apna acting debut karne ja rahi hain. Unki singing se adakari ki dunya mein yeh mumkina entry fans ke liye aik behad dilchasp aur hairankun khabar hai.

‘Kahani AIK Hi Jagah Ruk Gayi Hai!’: Drama ‘Gulbahar’ Ke Script Par Atiqa Odho Ki Shadeed Tanqeed

Senior adakara Atiqa Odho ne drama ‘Gulbahar’ ki kahani par shadeed narazgi ka izhar karte hue kaha hai ke drama ki kahani aik hi jagah ruk gayi hai aur agay nahi barh rahi. Is ke ilawa, unhon ne larki ke liye ajeeb rishton aur appa ke kirdaar par bhi shadeed sawal uthaye hain.

‘Khatoon Contestant Ko Jitwana Chahiye!’: Nadia Afghan Ka Statement Viral, Babrik Shah Ke Fans Shadeed Gusse Mein

Senior adakara Nadia Afgan ko reality show ‘Tamasha Season 5’ ke winner par apni rai dene par shadeed tanqeed ka samna hai. Nadia Afgan ne Babrik Shah ke bajaye Esra ya Samiya mein se kisi khatoon ko jitwane ki khwahish zahir ki. Fans ne ise ta-assub qarar dete hue kah ke trophy Babrik Shah ka haq hai.

‘Doosri Shaadi Ki Storyline Se Nafrat!’: Drama ‘Gulbahar’ Ke Regressive Script Par Sanam Saeed Aur Emmad Irfani Ko Fans Ki Tanqeed

Hum TV ke drame ‘Gulbahar’ ki doosri shaadi wali storyline par shaiqeen ne sakht afsos ka izhar kiya hai. Be-auladi ke maslay par shohar ki chhotay umar ki larki se doosri shaadi dikhane par awam gusse mein hai. Fans ne Sanam Saeed aur Emmad Irfani ke is tarah ke purane khayalat wale script ko chunne par mayoosi jataayi hai.

‘Ghar Aaya Nanha Mehman!’: Adakaara Neelam Muneer Ke Han Betay Ki Paidaish, Social Media Par Fans Ki Mubarakbaad

Maroof adakara Neelam Muneer ke han betay ki paidaish hui hai. Shaadi ke baad Dubai mein muqeem Neelam ne abhi tak yeh khabbar khud share nahi ki, lekin unke shohar Muhammad Rashid ke dost ne social media par mubarakbaad ki post share ki. Fans is khushkhabri par jodi ko behad mubarakbaad de rahe hain.

‘Kya Yeh Hamari Saqaafat Hai?’: Chhotay Kaproon Ke Trend Par Kanwal Aftab Ka Bara Sawal, Social Media Par Behas Shuru

Maroof TikToker aur influencer Kanwal Aftaab ne chhotay kapdon ke barhte hue trend par sawal utha diya hai. Unhon ne kaha ke log aise libas mein asan kyun mehsoos kar rahe hain, kya yeh hamri saqafat aur riwayat ke mutabiq hai? Is bayan ke baad social media par naye fashion aur riwayat par behas shuru ho gayi hai.

← Previous
Next →

Copyright © 2025 Abdulnews. All Rights Reserved.