Senior adakara Atiqa Odho ne drama ‘Gulbahar’ ki kahani par shadeed narazgi ka izhar karte hue kaha hai ke drama ki kahani aik hi jagah ruk gayi hai aur agay nahi barh rahi. Is ke ilawa, unhon ne larki ke liye ajeeb rishton aur appa ke kirdaar par bhi shadeed sawal uthaye hain.