Maroof TikToker aur influencer Kanwal Aftaab ne chhotay kapdon ke barhte hue trend par sawal utha diya hai. Unhon ne kaha ke log aise libas mein asan kyun mehsoos kar rahe hain, kya yeh hamri saqafat aur riwayat ke mutabiq hai? Is bayan ke baad social media par naye fashion aur riwayat par behas shuru ho gayi hai.