Senior adakara Nadia Afgan ko reality show ‘Tamasha Season 5’ ke winner par apni rai dene par shadeed tanqeed ka samna hai. Nadia Afgan ne Babrik Shah ke bajaye Esra ya Samiya mein se kisi khatoon ko jitwane ki khwahish zahir ki. Fans ne ise ta-assub qarar dete hue kah ke trophy Babrik Shah ka haq hai.