
Main Irshad Bhatti Ki Jagah Hota To Dobara Shadi Ka Faisla Kabhi Na Karta: Kamran Shahid
Kamran Shahid ne apne qareebi dost aur colleague Irshad Bhatti ke second nikah ke faislay par khul kar tanqeed ki hai. Social media par viral clip mein Kamran Shahid ka kehna hai ke agar woh Irshad Bhatti ki jagah hotay to dobara shadi ka faisla kabhi na kartay. Is bayan ke baad online public do groups mein taqseem ho gayi hai.



