
“Main Shayad Aapse Bhi Zyada Pakistani Drame Dekhti Hoon”: Indian Actress Sargun Mehta Ka Dilchasp Bayan
Indian adakaara Sargun Mehta ne Pakistani dramon aur adakaaron ki khule dil se tareef ki hai. Unhon ne bataya ke wo bohot zyada Pakistani drame dekhti hain aur unhein Humayun Saeed, Mahira Khan, Bilal Abbas Khan aur Hania Aamir jaise baday sitaron ke baare me sab maaloom hai aur woh inki fan bhi hein.



