‘Karbala Ke Gham Me Koi Shia Ya Sunni Nahi Hota’: Hania Aamir

Pakistan ki famous young adakaara Hania Aamir ne Karbala ke hawale se ittehad ka paigham share kiya hai, unhon ne likha ke Karbala ke gham me Shia ya Sunni ka koi farq nahi hota. Imam Hussain (A.S.) ki qurbani firqa-wariat se balatar hai aur hidayat ka sabaq deti hai.

“Baap Bachon Ko Pets Ki Tarah Treat Karte Hain”: Influencer Aidaah Sheikh

Famous social media influencer Aidaah Sheikh ne modern parenthood par baat karte hue kaha ke mard bacchon ki parwarish me khwateen ka sath nahi dete. Unhon ne Baku ke aik waqiat ka zikr kiya jahan maa akele bacche ko sambhal rahi thi jabke baap phone me masroof tha. Unka kehna tha ke mard bacchon ko paltu janwaron ki tarah treat karte hain.