Fawad Khan Aur Ayeza Khan Apni Upcoming Film Ke Set Par Aik Sath Nazar Aye; Fans Mein Khushi Ki Lehar

Pakistan ke Superstars Fawad Khan aur Ayeza Khan ko apni aane wali nayi film ke set par aik sath shooting karte hue dekha gaya hai. dono ki is mulaqaat aur filming ki tasveer samne aane ke baad fans ke darmiyan kaafi craze aur excitement paida ho gayi hai aur jald film ke release ka wait kar rahe hein.
‘Showbiz Sitaron Ki Shadiyon Par Tanqeed Band Karein’: Adakaara Namrah Shahid Ki Awam Se Appeal

Pakistan ki mashhor Adakaara Namrah Shahid ne Falak Shabir, Sarah Khan, Khushhal Khan aur Ramsha Khan se mutaliq halia behas par guftagu ki hai, unhon ne awam se guzarish ki ke wo showbiz sitaron ki zati zindagi, shadiyon aur rishton par bilawaja tanqeed karne aur andaze lagane se gureiz karein.
Apni Shadi Ki Nakaami Aur Talaq Ke Dard Par Baat Karte Hue Influencer Kanwal Farooq Podcast Mein Ro Pareen

Tamasha Season 4 ki contestant aur influencer Kanwal Farooq aik podcast me apni talaq par baat karte hue ro pareen. Unhon ne bataya ke unhon ne muhabbat par bharosa kar ke us waqt shadi ki thi jab unke shohar ke paas kuch nahi tha, magar unhein dukh mila aur rishta khatam ho gaya.
‘Set Par Kaafi Anxiety Rehti Hai’: Drama ‘Bas Tera Saath Ho’ Me Apne Kirdaar Aur Saira Raza Ki Death Par Farhan Saeed Ka Khulasa

Adakaar Farhan Saeed ne bataya ke drama ‘Bas Tera Saath Ho’ ke set par unhein kaafi anxiety rehti thi, unka kirdaar bachpan se kaafi takleef se guzra hai, jis par wo sochte hain ke marhooma writer Saira Raza ne is kahani ko likhte waqt kya mehsoos kiya ho ga.
Shohar Shehzar Mohammad Aur Beti Ke Sath Tasaveer Share Kar Ke Adakaara Sohai Ali Abro Ne Talaq Ki Afwahon Ko Khatam Kar Diya

Adakaara Sohai Ali Abro ne Instagram par apne shohar Shehzar Mohammad aur beti ke sath khubsoorat tasaveer share kar ke talaq ki afwahon ko hamesha ke liye khatam kar diya hai. Shohar ki tasaveer na hone ki wajah se log judai ka andaza laga rahe the, magar is post ne sab ghalat fehmiyan door kar dein.
‘Guli Mata’ Se Jail Tak Ka Safar; Singer Saad Lamjarred Ko Rape Ke Ilzaam Me 5 Saal Qaid Ki Saza

Famous song Guli Mata ke Moroccan singer Saad Lamjarred ko French court ne rape ke ilzamaat me panch saal qaid (five year imprisonment) ki saza sunayi hai, is faisle ne singer ki lambe arse se jari qanooni jhang me aik bohot bada aur naya mor paida kar diya hai.
Kya Ex-Couples Ka Reunion Hone Wala Hai? Aima Baig Aur Shahbaz Shigri Aik Doosre Ki Feed Par Wapas

Singer Aima Baig aur Shahbaz Shigri ne social media par aik doosray ko dobara follow karna shuru kar diya hai, jis se reunion ki afwahein garm hain. is online harkat ne sab ki tawajjo hasil kar li hai jabke Aima ke shohar Zain is poori surat-e-haal se bilkul gayab hain.
Green Entertainment Ka Naya Drama ‘Raqqas’; Danyal Zafar Aur Komal Meer Pehli Baar Aik Sath

Pakistan ka famous drama serial Zanjeerein ke baad Danyal Zafar jald hi Green Entertainment ke naye drama Raqqas me adakaara Komal Meer ke sath nazar ayein ge. Nathiagali me shoot hone wale is drame ko Radain Shah ne likha hai aur iske director Shahid Shafaat hain. Fans is jori ke liye behad betaab hain.
Kubra Khan Ne Apni Salgirah Sara Ali Khan Aur Sharmila Tagore Ke Saath Manayi; Tasveerain Viral

Pakistani adakaara Kubra Khan ne apni salgirah Bollywood sitaron ke sath manayi hai, unhon ne is mauqe par mashoor Indian actress Sara Ali Khan aur senior adakaara Sharmila Tagore ke sath waqt guzara. Dono mulkon ke sitaron ki is mulaqaat ko social media par kaafi pasand kiya ja raha hai.
Pakistan Me Doosray Mazahib Ko Kyun Nahi Dikhaya Jata?’: Sania Saeed

Senior adakaara Sania Saeed ne Pakistani dramon me dosre mazahib ki numaindagi na hone par afsos ka izhaar kiya hai. Unhon ne drama Meherposh ki misal dete hue kaha ke jab director ne isme aik Hindu kirdaar shamil kiya, to awam ne is par sakht aitrazat uthaye jaise Pakistan me Hindu rehte hi nahi hain.