Emaan Rajab Ka Khud Ko Novel Ke Mashhoor Kirdar ‘Salar Sikandar’ Se Comparison, Social Media Par Khub Troll Ho Gaein

Maroof YouTuber Rajab Butt ki beghum Emaan Asad ne social media par aik jazbati post share karte hue khud ko mashhoor urdu novel “Peer-e-Kamil” ke kirdar Salar Sikandar se compare kiya hai. Is tanz-o-mazah ke chalte fans ne unhein khub troll kiya aur kaha ke koi bhi Salar Sikandar jesa nahi ho sakta.
Bushra Ansari Ka YouTube Earnings Se Mutalik Haqaiq Ka Inkishaf: ‘Log Samajhte Hain Hum Hazaron Dollars Kama Rahe Hain Jo Ke Sach Nahi’

Maroof Actress Bushra Ansari Ne Nadia Khan Ke Sath Aik Vlog Me Apni YouTube Earnings Se Mutalik Haqaiq Se Parda Uthaya Hai. Unhon Ne Kaha Ke Log Samajhte Hain Wo Hazaron Dollars Kama Rahi Hain Jo Ke Sach Nahi Hai. Shadi Aur Shooting Schedule Ke Sath Regular Vlogging Karna Kafi Mushkil Kaam Hai.
Sanam Jung Ka Traffic Enforcement System Par Izhaar-e-Barhami: “Seat Belt Pehne Hue Bhi Seat Belt Ke Fine Aa Rahe Hain”

Maroof Actress Aur Host Sanam Jung Ne Social Media Par E-Challan Milne Par Mayusi Ka Izhar Kiya Hai. Un Ka Kehna Hai Ke Seat Belt Pehanne Ke Bawajood Unhein Traffic Fine Ka Samna Karna Para. Is Post Ne Internet Par Aik Behas Chair Di Hai Jahan Digar Users Ne Bhi Aise Hi Tajarbaat Share Kiye.
Nameer Khan Ne Umrah Ki Saadat Haasil Kar Li, Khana Kaaba Se Khoobsurat Tasveer Social Media Par Share

Pakistani Ke Mashhor Talented actor Nameer Khan ne Umrah ki saadat haasil kar li hai aur Khana Kaaba se apni aik khoobsurat tasveer share ki hai. Unhon ne is muqaddas safar par shukrana ada kiya, jis par sitaron aur fans ne emotional hote hoye unhein mubarakbaad dete hue duayein di hain.
Maya Ali Ka Shadi Se Mutalik Sabaq-Amooz Bayan: ‘Shadi Na Hone Ya Dair Se Hone Se Insaan Nahi Marta Shadi Ghalat Jagah Ho Jane Se Insaan Mar Jata Hai’

Maroof Actress Maya Ali Ne Sahi Humsafar Ke Intikhab Ki Ahmiyat Par Baat Karte Hue Aik Quote Share Kiya Hai. Unhon Ne Kaha Ke Shadi Na Hone Ya Dair Se Hone Se Insaan Nahi Marta, Lekin Ghalat Jagah Shadi Ho Jane Se Insaan Zinda Nahi Rehta. Un Ka Ye Bayan Tezi Se Viral Ho Raha Hai.
Shehnaaz Gill Ka Pakistani Fans Ke Liye Muhabbat Ka Izhar: ‘Pakistan Ke Fans Sabse Zyada Hain Aur Mere Dil Ke Qareeb Hain’

Maroof Indian Actress Shehnaaz Gill Ne Pakistan Se Milne Wali Muhabbat Par Khushi Ka Izhar Karte Hue Kaha Hai Ke Unhein Pakistan Se Hamesha Bohat Pyar Mila Hai. Unhon Ne Wazeh Kiya Ke Pakistani Fans Un Ke Dil Me Aik Khaas Jagah Rakhte Hain Aur Un Ki Tadaad Bohat Zyada Hai.
Drama ‘Zanjeerain’ Ki Team Par Aik Baar Phir Tanqeed: ‘Set Par Cold Behavior Ka Samna Karna Para’: Sahar Hashmi

Maroof Actress Sahar Hashmi Ne Aik Baar Phir Drama Serial “Zanjeerain” Ki Team Par Tanqeed Karte Hue Kuch BTS Tasaveer Share Kii Hain. Unhon Ne Set Par Cold Behavior Aur Tamaskhur Ka Zikr Kiya Aur Kaha Ke Insaan Ki Mehnat Hamesha Rang Lati Hai, Is Liye Sab Ko Aik Doosre Ki Izzat Karni Chahiye.
Ahad Raza Mir Ka Mohabbat Se Mutalik Dilchasp Bayan: ‘Insaan Bar Bar Mohabbat Nahi Kar Sakta, Yeh Sirf Aik Baar Hoti Hai’

Maroof Actor Ahad Raza Mir Ne Apne Naye Drama Serial “Aik Mohabbat Aur” Ki Promotion Ke Doran Mohabbat Par Baat Karte Hue Kaha Hai Ke Insaan Bar Bar Mohabbat Nahi Kar Sakta Aur Ye Sirf Aik Baar Hoti Hai. Halanke Un Ki Co-Star Maya Ali Is Baat Se Ikhtilaaf Karti Nazar Aayein.
‘Jab Tak Shaoor Na Ajaye, Munh Sirf Khane Peene Ke Liye Istemal Karein’: Shagufta Ejaz

Veteran Actress Shagufta Ejaz Ne Social Media Par Aik Dilchasp Aur Sabaq-Amooz Advice Share Karte Hue Kaha Hai Ke Jab Tak Insaan Me Shaoor Na Ajaye, Use Apne Munh Ko Sirf Khane Peene Ke Liye Istemal Karna Chahiye. Un Ka Ye Bayan Fans Ke Darmiyan Kafi Maqbool Ho Raha Hai.
Ahsan Khan Ki Shadi Shuda Joron Ko Advice: ‘Shadi Par Aik Sath Therapy Lein Aur Boundaries Set Karna Seekhein’

Pakistan ke Maroof Actor Ahsan Khan Ne Naye Drama Serial “Aap Ki Izzat” Ki Promotion Ke Doran Shadi Aur Rishton Par Baat Karte Hue Kaha Hai Ke Shadi Shuda Joraun Ko Boundaries Set Karni Chahiyen Aur Counseling Leni Chahiye. Unhon Ne Wazeh Kiya Ke Rishtay Me Kisi Teesri Toxic Entity Ki Jagah Nahi Honi Chahiye.