Qurat Ul Ain Iqrar Ne Kamyab Shadi Ka Raaz Bata Diya

Sabiq News Anchor Qurat Ul Ain Iqrar Ne Aik Vlog Me Kamyab Shadi Ka Raaz Batate Hue Kaha Hai Ke Rishta Hamesha Donon Shareek-e-Hayat Ki Mushtarka Koshish Se Chalta Hai. Unhon Ne Kaha Ke Sirf Aik Ka Samjhauta Kafi Nahi Aur Rishte Ke Leye Waqt Aur Samjhdari Bohat Zaroori Hai.

Sahar Hashmi Ne ‘Mann Mast Malang’ Ko Apni Pehchan Qaraar De Diya

Maroof Young Actress Sahar Hashmi Ne Maliha Rehman Ko Diye Interview Me Kaha Hai Ke Drama ‘Mann Mast Malang’ Un Ki Pehchan Ban Chuka Hai. Unhon Ne Bataya Ke Is Drama Se Unhein Commercial Shuhrat Mili Aur Danish Taimoor Samait Apni Team Ka Shukriya Ada Kiya Jis Ne Un Ka Sath Diya.