Maroof adakar Shuja Asad ne Karachi me naujawan tajir ke qatl par afsoos ka izhaar karte hue amno-amaam ki halat par sawalat uthaye hain. Unhon ne kaha ke hum naujawanon ko Karachi me sarmaya kari aur karobar ka kaise kahein jab unhe apni jaan ka khauf ho? Unhon ne shehar mein insaf ka mutalaba kiya hai.