Maroof singer Aima Baig fan page ki taraf se bhejay gaye jazbaati paigham par aabdeeda ho gain. Unhon ne social media par apne fans ki mohabbat aur saalo ki himmat afzai par dil se shukriya ada kiya. Fans ne un ke bina kisi gharoor ke rehne aur chahne walon ke sath mazboot ta’alluq ko bahot saraaha.