Main Nahi Chahti Meri Granddaughter Navya Shadi Kare: Jaya Bachchan

Jaya Bachchan ne shadi ko “outdated concept” qarar dete hue kaha ke woh nahi chahtin ke unki granddaughter Navya Naveli Nanda, jo 28 ki hone wali hain, abhi shadi kare. 77-saal ki Jaya ka kehna hai ke aaj ke daur mein marriage ka pressure bilkul zaroori nahi. Social media par unke is bold stance par garam behas jari hai.

Hira Mani Ki Bachpan Ki Video Ne Fans Ke Dil Jeet Liye

Hira Mani ki bachpan ki video viral. 1992 ki is nostalgic clip mein chhoti Hira Bollywood gaane “Zindagi Ek Safar Hai Suhana” par pyare andaaz mein dance karti nazar aati hain. Fans ne unki bachpan ki confidence aur natural charm ko saraha, keh rahe hain ke woh tab bhi star thi aur aaj bhi screen par shine karti hain.

Nida Yasir Food Delivery Riders Se Mutaliq Bayan Par Tanqeed Ki Zadd Mein

Famous morning show host Nida Yasir ne food delivery riders ke bare mein bayan diya ke kabhi wo baki paisa saath nahi lete aur extra charge kar lete hain. Unka kehna tha ke log exact payment karein aur wo tip dene ke haq mein nahi hain. Social media par users ne unka bayan criticize karte hue riders ki mehnat ko highlight kiya.

Pakistani Content Ko Netflix Par Lana Zaroori Hai, Ye Industry Ko Boost Dega: Farhan Saeed

Farhan Saeed ne kaha ke Pakistani content ko Netflix tak le jaana poori industry ka maqsad hona chahiye. Podcast mein unka kehna tha ke quality storytelling siyasat se upar hoti hai aur Indian audience ab bhi Pakistani dramas mein dilchaspi rakhti hai. Unhon ne zor diya ke global platforms par aana industry ko international reach aur badi growth de sakta hai.

Raat Gayi Baat Gayi Wala Jumla Mazaaq Tha, Sanjeeda Na Liya Jaye: Twinkle Khanna

Twinkle Khanna ne clarify kiya ke unka “Raat Gayi Baat Gayi” wala bayan sirf mazak tha. Bollywood ki former actress aur Akshay Kumar ki wife ko apne talk show Too Much with Kajol & Twinkle mein be-wafai par remarks dene par tanqeed ka samna tha. Unka kehna hai ke ye bayan kisi serious discussion ke liye nahi, bas halka-phulka mazak tha.

Sanam Saeed Aur Emmad Irfani On-Screen Dobara Mil Rahe Hain Drama Kafeel Mein

Sanam aur Emmad Irfani bohot jald drama Kafeel mein dobara screen share karne ja rahe hain. Big Bang Entertainment ki production, Umera Ahmed ki writing aur Meesam Naqvi ki direction ne fans ka excitement already barha diya hai. Fahad Mustafa ke release kiye gaye teaser ne cinematic vibe di hai. Drama ARY Digital par Monday–Tuesday slot mein “Biryani” ki jagah on-air hoga.

Hania Amir Ki Desi Lahori Lehje Ki Naqal, Video Viral

Hania Amir ki ek video social media par viral ho gayi jismein woh desi Lahori lehje ki naqal kar rahi hain. Video mein unhon ne Urdu ka ‘ر’ ko ‘ڑ’ se badal kar purane Lahore ke lehje ko mimic kiya. Fans ne video ko funny aur entertaining qarar diya, jabke kuch ne unko “non-serious celebrity” keh kar criticize kiya.

Faysal Quraishi Ke Weight Loss Ne Fans Ko Pareshan Kar Diya

Faysal Quraishi ki noticeably slim look ne fans ko tension mein daal diya hai. Log umeed kar rahe hain ke woh bilkul theek hon aur apna khayal rakh rahe hon. Social media par unke liye support aur well-wishes ka silsila jari hai, jahan fans unki sehat aur wellbeing ke liye duaen bhej rahe hain.