Shazeal Shoukat Ek Baar Phir Surkhiyon Mein

Shazeal Shoukat ne TikTok par apni bold videos share karke social media par tehlka machadiya۔ Canada aur Pakistan ke darmiyan rehnay wali Shazeal hamesha fashion aur apni individuality ko boldly express karti hain۔ Unki western outfits aur confidence ne fans ko do hisson mein baant diya—kuch log tareef kar rahe hain jabke doosri taraf users tanqeed ki barsaat kar rahe hain.

TV Par Kaam Ne Mujhe Sust Bana Diya, Ek Dhele Ki Mehnat Nahi Hoti: Kapil Sharma

Kapil Sharma ne kaha ke TV par kaam ne unhein “sust” bana diya hai. Unke mutabiq shows mein sofa par baith kar recording hoti hai, jismein “ek dhele ki mehnat” nahi hoti. Kapil ka kehna tha ke yeh comfort unki fitness ko nuqsan pohoncha raha hai, is liye ab woh consciously sehat aur physical activity par focus kar rahe hain.

Aesa Kya Keh Diya Rajab Butt Ki Walida Ne?

Rajab Butt ki walida ke interview ne social media par backlash bharka diya، jahan unhon ne bahu Emaan Rajab ke bare mein tanqeedi aur zaleel kun remarks kiye۔ Emaan aur Rajab ek mushkil phase se guzar chuke hain، aur ab unke personal cases chal rahe hain۔ Walida ki Emaan ko apni beti Ghazal se compare karne wali statements viral ho chuki hain.

Fairy Tale Famed Amna Youzasaif Ki Baat Pakki Pictures Viral

Amna Youzasaif ne apni baat pakki ki tasveerain share karke fans ko surprise kar diya۔ Actress ne bataya ke unhe apni zindagi ka pyaar mil gaya hai aur ghar walon ke beech unka yeh khaas din manaaya gaya۔ Amna ne pink outfit pehna، groom ka chehra reveal nahi kiya magar unki khushi aur glow ne social media par dhoom macha di.

Sahar Khan Ki Wedding Announcement Ulti Padh Gayi, Awam Ki Shadeed Tanqeed

Sahar Khan ka Instagram “wedding announcement” post viral hua, magar fans ne is par shadeed tanqeed ki. Image aur caption ne logon ko ye sochne par majboor kiya ke shayad woh shadi kar rahi hain. Baad mein Sahar ne clarify kiya ke ye unki friend ka bara din tha, magar users ne isay attention-seeking aur sasti shoharat ka tareeqa qarar diya.

Har Koi Kehta Hai Khawateen Ko Zyada Muawza Milna Chahiye: Madhuri Dixit

Madhuri Dixit ne gender pay gap ko sirf Bollywood ka nahi balke har field ka masla qarar diya. Unhon ne kaha ke auratein aaj bhi apni mehnat ka poora haq hasil karne ke liye struggle karti hain. Madhuri ka kehna hai ke baat zyada paisa lene ki nahi, balke ek munsefana nizaam ki hai jahan aurat ki mehnat ka sahi ehtram ho.