Biwi Ke Samne Adakara Se Romance, Haath Kaanp Jate Hain, Kapil Sharma

Kapil Sharma ne reveal kiya ke film Kis Kisko Pyaar Karoon 2 ke set par unki biwi Ginni mojood thi, jiske baad co-actress ke saath romantic scene karna unke liye mushkil ho gaya. Kapil ne kaha ke biwi ke saamne romance karte hue unke “haath tak kaanp jate hain.” Ginni ne bhi maana ke woh Kapil ko romantic scenes karte dekh nahi sakti.
Kya Madhuri Siyasat Mein Qadam Daal Rahi Hain? Adakara Ne Haqeeqat Bata Di

Bollywood ki mashhoor actress Madhuri Dixit ne siyasat mein shamil hone ki afwahen khatam kar di hain. 58 saal ki Madhuri ka kehna hai ke unka siyasat ka irada kabhi nahi raha aur woh is field ke liye fit nahi hain. Unka focus ab apne naye project Mrs. Desh Pandey par hai, jisme woh complex aur deep role play karengi.
Dharmendra Ki Wafat Par Gehra Dukh Zahir Kiya, Kaha Aap Jaisa Bada Dil Kisi Ka Nahi

Shilpa Shetty ne senior Bollywood actor Dharmendra ki wafat par gehra dukh zahir kiya aur Instagram par unke saath tasveerain share karte hue kaha ke aap jaisa bada dil kisi ka nahi. Unhone likha ke Dharmendra ki asli khoobsurti unki simplicity aur meharbani thi. Film industry mein gham ki lehar daur gayi aur unki antim rasoomat Mumbai mein ada ki gayi.
Shilpa Shetty Ne Aakhir Kar Apni Fitness Ka Raaz Khul Diya!

Shilpa ne Instagram par fitness tips ke liye workout ki video share ki, jismein unhone teen effective exercises dikhai. In workouts se pet, kamar aur hips ke muscles strong hote hain aur posture aur stability behtar hoti hai. Shilpa ne sit-ups jaisi movements perform karte hue bataya ke yeh exercises fat loss aur strength build mein madad karti hain.
Dharmendra Ki Wafaat Par Doosri Baar Waalid Ko Kho Baithe: Kapil Sharma

Kapil Sharma ne Dharmendra ki wafaat par gehra gham zahir kiya. X par tasveer share karte hue Kapil ne likha ke Dharmendra ka chala jaana dil ko cheer dene jaisa hai aur yun mehsoos hota hai jaise woh doosri baar apne waalid ko kho baithe. Kapil ne kaha ke Dharmendra ki mohabbat aur duain hamesha unki yaadon mein zinda rahengi.
Deepfake Pictures Ne Celebrities Ki Zindagi Ko Mushkil Bana Diya Hai: Shriya

Shriya ne AI fake pictures aur unki jhuti profiles ke phailne par gehri tashweesh ka izhar kiya. Unhone cyber crime mein shikayat darj karwayi kyunke rozana unki badli hui photos aur ghalat messages circulate ho rahe hain. Shriya ke mutabiq deepfake ke daur mein asli aur jhoote mein farq mushkil ho gaya hai, aur is se celebrities bohot mutasir ho rahi hain.
Feroze Khan Ne Islam Ki Khatir Showbiz Chhorne Ka Faisla Kyun Kiya Tha?

Feroze ne khul kar bataya ke unhon ne Islam ki khatir showbiz chhorne ka faisla kyun kiya tha. Feroze ka kehna tha ke shohrat aur paisa bay-maani lagne lage the aur unhein samajh aaya ke insan ki asal pehchan uska career nahi hota. Unhon ne kaha ke agar naseeb mein rizq likha hai toh woh har haal mein mil kar rehta hai.
Aishwarya Rai Ne Aamir Khan Ka Pepsi Ad Mana Kar Diya

Prahlad Kakkar ne yaad dilaya ke 1993 mein Aishwarya Rai bilkul raw thi aur us waqt unka kabhi boyfriend nahi tha. Unhone bataya ke Aishwarya ne Aamir Khan ke liye Pepsi ad bhi turn down kar diya tha. Kakkar ne ye bhi kaha ke Aishwarya har waqt apni professionalism aur asliyat ko qaim rakhti thin.
Sahir Ke Naye Song Mein Actress Saima Noor Ke Jalwe Ne Dhoom Macha Di

Sahir Ali Bagga ne apne naye gaane “Mastani” ka teaser jari kar diya hai jismein mashhoor film actress Saima Noor screen par wapas nazar aa rahi hain. Teaser ne social media par zabardast hype create kar di hai. Fans Saima ke comeback se bohot khush hain, jabke Bagga aur Afshan Fawad ki awaazon ne gaane ko filmi aur jazbati touch diya hai.
Bharat Ab Pakistani Heroes Par Filmein Bana Raha Hai: Nadia Khan

Nadia ne Bollywood par nishana lagate hue kaha ke India kuch create nahi kar sakta aur Pakistani heroes ki stories copy karraha hai. Apne show mein unhon ne producer Neha Laaj ko bulaya jinhon ne film Chaudhry banayi thi. Nadia ka kehna tha ke Bollywood ki creativity khatam ho chuki hai aur ab wo Pakistani kahaniyon tak ka sahara le raha hai.