“Is Ki Qeemat Ek Crore Hai”, Dur e fishan Ki Painting Ki Video Viral

Pakistani Adakara Durefishan Ki Painting Ki Video Social Media Par Viral Ho Gayi. Video Mein actress Apni Blue Canvas Par Lagi Abstract Painting Ki qeemat Ek Crore Rupay Batati Hain, Jo Dekh Kar Host Danish Nawaz Bhi Hairan Ho Gaye. durefishan Ka Kehna Hai Ke “Art Aise Hi Bikta Hai,” Jo Fans Mein Bhi Surprise Ka Wajah Bana.

Ranveer Singh Ne Maafi Kyun Maangi?

Mashhoor Adakar Ranveer Singh Ne Fans Se Maafi Maang Li Hai. Unko Goa Mein International Film Festival Ke Closing Ceremony Mein Film ’Kantara: A Legend – Part 1‘ Ke Ek Hindu Religious Ritual Ki Naqal Par Sakht Tanqeed Ka Samna Karna Pada. Ranveer Ne Apni Insta Story Par Fans Se Dil Se Maafi Maangi Aur Sabko Culture Aur Respect Ki Ahmiyat Yaad Dilai.

Vicky Ka 2025 Ka Sabse Bara Lamha Beta Ki Pedaish Ne Zindagi Badal Di

Vicky ne 2025 ka sabse bada lamha apne bete ki pedaish ko qarar diya، jo 7 November ko Katrina Kaif ke saath unki zindagi mein aaya۔ Actor ne kaha ke fatherhood ne unhein “sabse zyada ground” kiya۔ Announcement ke baad social media mubarakbaadon se bhar gaya۔ Katrina–Vicky ne September mein pregnancy confirm ki thi، jab unki viral polaroid ne fans ko deewana bana diya.

Javeria Saud Ka Sangeeta Par War “Cheap Publicity Ka Saahara Mat Lo”

Sangeeta ke recent claim Saud aur Meera ke purane affair—par Javeria Saud ne sakht reaction diya. Unhon ne actress ko target karte hue kaha ke purani baatein uchaal kar unke ghar ka mahol kharab karna “cheap publicity” hai. Javeria ne clear kiya ke unka rishta mohabbat aur trust par mabni hai, aur aisi kahaniyan unke family bond ko hila nahi sakteen.

Imran Khan Ki 10 Saal Baad Bollywood Mein Wapsi

10 saal baad Imran Khan ek dafa phir Bollywood mein wapsi kar rahe hein aur woh bhi Vir Das ki directorial debut film Happy Patel mein cameo ke saath۔ Teaser mein unki ek jhalak ne social media ko nostalgia se bhar diya، fans ne ise Delhi Belly reunion qarar diya۔ Actor 2015 ke baad pehli baar screen par nazar aayenge.

Nadia Afghan Ka Naumaan Ijaz Ke Saath Kaam Karne Ka Tajurba Kaisa Raha?

Nadia Afghan ne apne tazaa interview mein bataaya ke Naumaan Ijaz ke saath kaam karna hamesha ek be-misal tajurba hota hai۔ Unke mutabiq Naumaan Ijaz itne perfect aur powerful actor hain ke unke saath scene karte hue banda naturally nervous ho jata hai، lekin woh saath hi co-actors ko space aur direction dekar unki performance ko bhi behtar bana dete hain.