Yashma Gill Ka Hania Aamir Aur Asim Azhar Ki Shadi Ki Khabron Par Reaction

Pakistani actress Yashma Gill ne Ramzan transmission mein Hania Aamir aur Asim Azhar ki shadi ke rumors par reaction diya. Fan ke sawal par unhon ne kaha ke shadi do logon ka personal mamla hota hai aur sirf wohi is par baat kar sakte hain. Yashma ne kaha ke agar aisa kuch hua to dono khud Instagram par announce karenge.

Dr Nabiha Ali Khan Ne Rajab Butt Ko Second Marriage Se Warn Kiya

YouTuber Rajab Butt ke divorce controversy par Dr Nabiha Ali Khan ne unhein second marriage se warn kiya hai. Unhon ne kaha ke Eman Fatima achi larki hai aur wohi unke bete ki behtar tarbiyat kar sakti hai. Dr Nabiha ne yeh bhi kaha ke doosri larkiyan paison ke peeche ho sakti hain aur unhon ne mediation ki offer bhi di.

Ramzan Transmission Mein Wife Ka Mazaq Urana Sajid Hasan Ko Mehnga Par Gaya

Senior actor Sajid Hasan ko apni begum ka mazaq urane par shadeed public backlash ka samna hai. Ramzan transmission ke doran Sajid ne apni wife Shakeela ki mimicry ki aur unhein “degrade” kiya, jis par social media sarfeen ne unhein “Red Flag” qarar de diya. Logon ne unke bete ke scandals par bhi unhein kadi tanqeed ka nishana banaya.

Little Arham Qadri Ne Jeet Liye Sab Ke Dil Ramzan Transmission Mein

Nanhe Naat Khawan Arham Qadri ne apni masoomiyat aur pur-aitamad guftagu se Shaan-e-Ramzan mein sab ke dil jeet liye. Arham ki Naat aur khoobsurat libas ko social media par behad pasand kiya ja raha hai. Khususan rabbits (khargosh) se darne wali unki viral videos ne unhein raaton-raat netizens ka pasandida star bana diya hai.

Farhana Maqsood Ka Bara Inkishaaf: Humayun Saeed Par Scam Ka Ilzaam

Adakaara Farhana Maqsood ne Humayun Saeed par “scam” karne ka ilzaam laga diya. Farhana ka dawa hai ke film ‘Main Hoon Shahid Afridi’ ke liye unhein galat briefing di gayi aur telefilm bol kar feature film mein kaam karwaya gaya. Unhon ne bataya ke unhein na cast mein shamil kiya gaya aur na hi kisi promotional event ya premiere par bulaya gaya.