Fiza Ali Ne Uthaye Sawal Pakistan Ke Top Adakaaron Ki Ek Jaisi Similar looks Par

Mashhoor host Fiza Ali ne top Pakistani adakaaron ki “aik jaisi shakal aur similarities” par sawal utha diye. Unka kehna hai ke Wahaj Ali, Danish Taimoor aur Imran Ashraf jaise adakaar aik hi hairstyle aur beard cut ki wajah se “lookalikes” lagte hain. Fiza ne screen par innovation aur versatility ki kami ka zimmedar directors ko thehraya hai.
17 Saalon Mein Kabhi Suit Repeat Nahi Kiya: Nida Yasir

Mashhoor host Nida Yasir ne inkishaaf kiya hai ke unhon ne apne 17 saala career mein kabhi koi suit repeat nahi kiya. Nida ka kehna hai ke styling un ki hamesha se priority rahi hai aur ab top designers unhein har show ke liye naye looks khud provide karte hain.
Eman Is Not A Bad Girl, Bas Uske Aas Paas Ke Log Theek Nahi: Rajab Butt

Rajab Butt ne haal hi mein viral hone wali video mein Eman ka difaa karte hue kaha ke “Eman buri larki nahi hai.” Unka kehna hai ke asal masla Eman ki apni shakhsiyat nahi balkay unke aas paas ke log hain jo theek nahi hain. Rajab ne logon se appeal ki ke wo Eman ke kirdar ko judge na karein.
Hania Aamir Podcast Controversy Mein Naya Morr, Meiraj Haq Ne Adnan Faysal Ki Asliyat Khol Di.

Hania Aamir podcast controversy mein naya morr agaya. Meiraj Haq ne podcast host Adnan Faysal ki asliyat khol di. Jahan Adnan ne Hania par paise mangne ka ilzaam lagaya, wahin Meiraj ne saboot dikhaye ke Adnan ki team khud guests se interview ke liye lakhon rupay mangti hai. Is ke baad kai aur content creators ne bhi Adnan par sawalaat utha diye.
Khan Sahab Is One Of The Greatest Men This Country Has Produced: Ahmed Ali Akbar

Ahmed Ali Akbar ne Shaukat Khanum ke liye fund jama karne ke ek event mein Imran Khan ki bohat tareef ki. Unhon ne kaha ke Khan Sahab is mulk ke sab se azeem insaanon mein se aik hain. Ahmed Ali ne hospital ke kaam ko appreciate kia aur logon se madad ki appeal bhi ki.
Danish Taimoor Nahi Chahte Ke Unka Beta Rayan Actor Bane: Superstar Ka Bara Khulasa

Danish Taimoor ne apne bete Rayan Taimoor ke career ke bare mein bara faisla sunaya. Danish ne kaha ke unka beta bara hokar actor na bane. Unhon ne mazeed kaha ke Rayan ko football aur sports ka bohat shauq hai, aur woh khud bhi bachpan mein sports mein dilchaspi rakhte thay, is liye woh bete ko showbiz mein nahi dekhna chahte.
Main Dusri Shadi Ki Afwah Phelana Chahta Hoon: Jan Rambo Ka Rukhsati Par Rone Ki Wajah Aur Dusri Shadi Par Dilchasp Bayan

Jan Rambo ne apni shadi ki rukhsati par rone ki wajah batadi. Aur kaha ke woh apni purani mushkilaat aur ghar banane ki mehnat ko yaad kar ke jazbaati ho gaye thay. Dusri shadi ke sawal par unhon ne mazaq mein kaha ke woh sirf check karne ke liye ye afwah phelana chahte hain ke unhon ne dusri shadi kar li hai.
Shohar Ki Dusri Shadi Par Fareeha Jabeen Ka Dil Jeetne Wala Bayan: Amar Khan Ki Walda Ki Himmat Ki Har Taraf Tareef

Fareeha Jabeen ne apni shadi aur talakh haqeeqat par khamoshi tod di. Unhon ne bataya ke un ki love marriage thi, lekin un ke shohar settle hone ke liye America gaye aur wahan dusri shadi kar li. Fareeha ne nihayat sabr aur izzat ke saath is haqeeqat ko tasleem kiya aur kaha ke woh apne shohar ke khilaaf kabhi bura nahi bolengi.
Anchors Viral Hone Ke Liye Toot-Ti Hui Shadiyon Ka Istemal Kar Rahe Hain: Amber Khan Aur Nadia Khan

Nadia Khan ke show mein Amber Khan ne divorce aur anchors ke baray mein bari baat kar di. Unhon ne kaha ke aaj kal anchors sirf viral hone ke liye logon ki toot-ti hui shadiyon ka mazaq udate hain. Dono ne is baat par zor diya ke talaq jaise zaati mamlaat ko tamasha nahi banana chahiye aur hamesha izzat barqarar rakhni chahiye.
Hania Aamir 20 Lakh Rupay Deserve Karti Hain: Faysal Quraishi Ne Podcast Controversy Par Hania Ki Himayat Kar Di

Faysal Quraishi ne Hania Aamir ki podcast ke liye 20 lakh rupay maangne ki himayat kar di. Apne Ramzan show mein Faysal ne kaha ke Hania aik international star hain aur woh itni bari raqam deserve karti hain. Unhon ne mazeed kaha ke agar Hania kisi show par aati hain toh views millions mein jate hain, is liye unki demand bilkul theek hai.