Faiza Hasan Ne Beti Ke Actress Banne Par Husband Ka Reaction Bataya

Actress Faiza Hasan ne bataya ke unke husband ne beti Jahan Aara ke actress banne par koi objection nahi kiya. Jahan Aara ne drama Tum Larkay Bhi Na mein Faiza Hasan ka younger role play kiya. Faiza ke mutabiq unke husband financial consultant hain aur kyun ke woh khud actress hain, is liye beti ke acting career par unhon ne support kiya.
Aakhir UK Ki Bakery Mein Larki Ne Tuba Anwar Ka iPhone Kaise Chura Liya?

Actress Syeda Tuba Anwar ne UK mein mugging ka waqia share kiya. Unhon ne bataya ke London mein bakery mein baithi thi jab aik larki ne chalaki se un ka naya iPhone chura liya. Waqia ke baad woh bohat traumatized ho gayin aur ghar se nahi nikli. Baad mein un ki sister ne un ke liye naya iPhone khareed kar diya.
Film Promotion Ya Gym Session? Fahad Mustafa Ka Sportswear Look Fans Ko Pasand Na Aaya

Pakistani actor aur host Fahad Mustafa ko recent interview mein outfit ki wajah se social media par sakht criticism ka samna hai. Woh film promotion ke liye sportswear aur shorts pehen kar aaye thay. Fans ne is dressing ko inappropriate qarar diya. Kai users ne kaha ke woh behtar outfit pehen sakte thay aur un ki dressing ne logon ko disappoint kiya.
Fiza Ali Ne Viral Dr Nabiha Ali Khan Controversy Par Wazahat Di

TV host Fiza Ali ne Dr Nabiha Ali Khan controversy par apni wazahat di. Unka kehna hai ke log unke Ramzan show par apne masail share karte hain aur unhein family ki tarah samajhte hain. Fiza Ali ne Dr Nabiha ka difa karte hue kaha ke couples ko ghar mein friendly aur relaxed rehne ka haq hai.
Javeria Saud Tanqeed Ke Bawajood Bizarre Calls Ka Silsila Jari Rakhe Hue Hain

Host Javeria Saud ko Ramzan transmission mein bizarre phone calls ki wajah se social media par criticism ka samna hai. Show mein Maulana Azad Jamil ke saath ajeeb calls discuss kiye ja rahe hain jo viral ho rahe hain. Internet users ka kehna hai ke yeh scripted calls hain aur sirf TRP aur ratings ke liye staged kiye ja rahe hain.
Eman Ki Dost Ne Rajab Butt Se Divorce Par Sab Se Dua Ki Appeal Kardi

Rajab Butt aur unki wife Eman Fatima ke darmiyan divorce ka mamla samne aa gaya hai. Rajab Butt ne Eman ko divorce notice bhej diya jis par woh shock ho gayin. Eman ki dost Musna Shabbir ne kaha ke Allama Asif Raza Alvi sulah karwane ki koshish kar rahe hain aur is rishtay ke liye logon se dua ki darkhwast ki hai.
Actress Zubab Rana Jald Dulhan Banengi, Shadi Ki Timeline Bata Di

Pakistani actress Zubab Rana ne apni shadi ke plans reveal kar diye. Ramzan transmission mein baat karte hue unhon ne bataya ke woh jald shadi karne wali hain. Unka kehna tha ke shadi Eid ke baad aik mahine mein ya phir 6 mahine ke andar ho sakti hai. Zubab ne dulhe ke baare mein koi detail share nahi ki.
Allama Asif Raza Alvi Rajab Butt Ki Shadi Bachane Ke Liye Maidan Mein Aa Gaye

Rajab Butt aur Eman ki shadi ko bachane ke liye Allama Asif Raza Alvi maidan mein aa gaye. Khabar hai ke Allama sahab ne dono ke darmiyan sula karwane ki koshish shuru kar di hai aur divorce ka process rukwa diya hai. Umeed hai ke ye jora jald dobara aik ho jayega
Ahsan Afzal Khan Ne Bataya Ke Unke Waalid Unki Inspiration Kyun Hain

Ahsan Afzal Khan ne bataya ke unke waalid Rambo unki sabse bari inspiration kyun hain. Unhon ne kaha ke unke waalid ne zero se shuruat ki aur apni mehnat se star bane. Ahsan ke mutabiq, wo apne waalid ki mehnat ka muqabla nahi kar sakte kyunke Rambo ne boht mushkil se naam banaya.
Ali Abbas Ne Bataya Ke Waseem Abbas Ne Unki Acting Mein Madad Kyun Nahi Ki

Ali Abbas ne bataya ke unke waalid unke acting mein aane ke khilaaf thay aur chahte thay ke wo CSS karein. Waalid ne saaf keh diya tha ke wo sifarish ke liye kisi ko phone nahi karenge. Ali ne bataya ke unhon ne har mushkil ka samna khud kiya aur wo apni mehnat se hasil kiye gaye muqam par boht khush hain.