“Mamooli Baat Par Ghar Toot Gaya” Sami Rasheed Ka Sehar Hayat Ke Ilzamaat Par Palat Kar Bara Jawab Viral

Sami Rasheed ne Sehar Hayat ke ilzamat ko radd karte hue divorce ki asli wajah beti ki salgirah par hone wala jhagra bataya hai. Sami ka kehna hai ke Sehar unke maa baap ko stage se utarna chahti thin, jis par behas barh gayi aur baat khula tak pahunchi. Social media viewers dono ki is larai par sakht tanqeed kar rahe hain.
“Mujhe Roz Talaq Ki Dhamkiyan Milti Thin” Sehar Hayat Ka Shohar Sami Rasheed Ke Khilaaf Intehai Afsosnak Inkishaaf Viral

Sehar Hayat ne Sami Rasheed se khula lene ki bari wajah batate hue unpar sangeen ilzamat lagaye hain. Sehar ka kehna hai ke unhe rozana talaq ki dhamkiyan di jati thin aur shohar unpar tashaddud karte thay. Mazeed ye ke Sami ne beti ka kharcha band kiya aur unki gari bhi wapas nahi ki.
Mariyam Nafees Apni Shadi Ki Salgirah Brazil Mein Manate Hue

Mashhoor adakaara Mariyam Nafees apni shadi ki salgirah manane ke liye Brazil pohanch gayi hain. Wo apne shohar aur nanhe bete Eesa ke saath Rio de Janeiro ki khoobsurat wadiyon mein chuttiyan guzar rahi hain. Mariyam ne is mauqe par apni khushi ka izhaar karte hue fans ke saath Brazil ke mukhtalif maqamaat ki dilchasp tasaveer share ki hain.
“Hamari Larai Ko Social Media Ne Barha Diya” Bushra Ansari Ka Javed Sheikh Ke Saath Hone Wale Tanazay Par Bara Bayan

Bushra Ansari ne bataya ke aik taqreeb ke doran Javed Sheikh or unke darmiyan ikhtilaf hua tha, jisay social media ne bohat barha charha kar pesh kiya. Bushra ka kehna hai ke unki dosti purani hai aur wo Eid par dobara aik saath thay, magar aaj kal social media mamooli baat ko bhi bari “controversy” bana deta hai.
“Itni Bari Kamyabi Par Humayun Saeed Ghabra Gaye Thay” Resham

Adakaara Resham ne Humayun Saeed ki sharafat ka qissa share kiya hai. Unhon ne bataya ke “Mere Paas Tum Ho” ki kamyabi par Humayun ghabra gaye thay aur unhe yaqeen nahi aa raha tha. Resham ke mutabiq, Humayun ne unki bhanji se mil kar sabit kiya ke wo itne bare star hone ke bawajood be had ache insan hain.
Main Ne Washroom Jana Chhor Diya, Ali Ansari Ka ‘Muamma’ Ke Set Par Khofnaak Waqiye Ka Inkishaaf

Ali Ansari ne apne naye drama “Muamma” ke set par hone wala aik khofnaak waqia share kiya hai. Unhon ne bataya ke set ke washroom mein aik crew member ne paranormal activity mehsoos ki, jis ke baad Ali ne wahan jana hi chhor diya. Is waqiye ke baad set par mojood tamam log dehshat mein mubtala ho gaye.
Maya Khan Par Gham Ka Pahar, “Baba Jan” Ke Inteqal Ki Dil Dehla Dene Wali Khabar

Mashhoor host aur adakaara Maya Khan ke “Baba Jan” is duniya se rukhsat kar gaye hain. Maya Khan ne Instagram par is dukh bhari khabar ka elan kiya aur bataya ke wo Liaquat Ali Khan ke potay thay. Walida ke inteqal ke baad is bare sadme ne Maya Khan aur unke chahne walon ko ghamzada kar diya hai.
Kya Ye Mahira Khan Hain Ya Nora Fatehi?

Mahira Khan ke new photoshoot ne social media par aik nayi behas cherdi hai. Fans ka manna hai ke Mahira Khan ne apne is naye avatar mein bilkul Bollywood star Nora Fatehi ko copy kia hai. Bohat se logon ne unke is “b*ld” look par hairat ka izhaar kiya hai.
Log Pathar Ke Zamane Se Kaam Kar Rahe Hain Aur Ab Ja Kar Hit Hue Hain, Javeria Saud Ki Yumna Zaidi Par Tanqeed

Javeria Saud ne Eid show ke doran Yumna Zaidi ki umar aur career par tanqeed kardi. Yumna ne is par kaha ke show mein dikhayi gayi bachpan ki tasveer hi jhooti thi. Unhon ne Javeria ko verify kar ke baat karne ka mahswara diya. Social media par fans Javeria ke is rawayye ki sakht mazammat kar rahe hain.
“Main Na Zyada Conservative Hoon Na Liberal” Ali Ansari Ka Apni Mazhabi Soch Aur Zindagi Guzarne Ke Andaaz Par Bara Bayan

Ali Ansari ne apni soch par khul kar baat karte hue kaha ke wo na zyada (conservative) hain aur na hi zyada liberal. Unka manna hai ke wo darmiyaana rasta pasand karte hain aur mazhab ko balance ke saath zindagi ka hissa banate hain. Ali ka ye bayan social media par kaafi tawajjo hasil kar raha hai.