“Gas Nahi Aati Magar Bill 26 Hazaar Kya Main Gas Kha Rahi Hoon?”: Sadia Imam

Sadia Imam ne gas ke bhari bills par hukumat par kadi tanqeed kardi. Unhon ne gussay mein sawal kiya ke gas na hone ke bawajood 26 hazaar bill kaise agaya? Sadia ka kehna hai ke itne bhari bill dekh kar aisa lagta hai jaise wo gas kha rahi hain. Unka ye bayan mehangai se pareshan awaam ki bharpoor tarjumani kar raha hai.

Shaan Shahid Aur Sara Loren Ke Bharat Mein Kaam Karne Par Mukhtalif Nazaryaat

Shaan Shahid aur Sara Loren ne Bharat mein kaam karne par mukhtalif raye ka izhaar kiya hai. Shaan ka kehna hai ke wahan adakaaron ko wo izzat nahi milti jo Pakistan mein hai, isliye unhon ne wahan kaam na karne ka faisla kiya. Sara Loren ne ikhtelaf karte hue kaha ke Bollywood mein kaam karne se artist ko behtareen exposure milta hai.

Nida Yasir Aur Yasir Nawaz Ka Europe Mein Vacation

Pakistan ki mashhoor jori Nida Yasir aur Yasir Nawaz aaj kal Europe mein vacations enjoy kar rahe hain. Is saal unhon ne Eid bhi Europe mein guzari, jahan unhon ne Netherlands ki tareekhi jagahon ki sair ki. Nida Yasir apne makhsoos “gypsy style” libas mein bohat pur-kashish nazar aa rahi hain.

“Resham Ne Kai Ghar Tabah Kiye” Adakaara Deedar Ka Resham Par Sangeen Ilzaam

Punjabi filmon ki star Deedar ne adakaara Resham par ghar tabah karne ka sangeen ilzaam laga kar sab ko hairan kar diya. Deedar ka kehna hai ke Resham asli zindagi mein intehai “negative” hain aur unhon ne kai logon ki zindagiyan kharab ki hain. Unhon ne Resham ke mojooda doston ko bhi unse bach kar rehne ki sakht hidayat di hai.