“Rabeeca Khan Aur Hussain Tareen Ki Umrah Adaygi” Khana-E-Kaaba Se Share Ki Gayi Tasaveer Social Media Par Viral

Mashhoor digital stars Rabeeca Khan aur Hussain Tareen ne khush qismati ke saath Umrah ada kar liya. Dono ne Khana-e-Kaaba se apni tasaveer aur safar ke lamhaat fans ke saath share kiye. Social media par unke is roohani safar ko saraha ja raha hai aur fans unhein mubarakbaad de rahe hain.
“Nida Yasir Ka Dhaniya Wala Sawal Viral” Morning Show Queen Aik Baar Phir Social Media Par Trolling Ka Shikaar

Nida Yasir apne naye sawal ki wajah se aik baar phir viral hogayi. Gardening ke segment mein adakaara Fazila Qazi ne jab dhaniya mehfooz rakhne ka zikr kiya, to Nida ne hairat se pooch liya ke “Kya dhaniya dabbe mein bhi ugta rehta hai?” Is sawal par social media sarfeen unka mazaq ura rahe hain aur dilchasp comments kar rahe hain.
Haan Main Attention Seeker Hoon: Faisal Rehman

Faisal Rehman ne aitraaf kiya hai ke wo “attention seeker” hain, Unhon ne bataya ke unki shirtless aur dancing videos sochi samjhi planning ka hissa hain taake log unhein dekhein. Faisal ka kehna hai ke har actor tawajjo ka bhooka hota hai aur Quaid-e-Azam se milne wala unka purana bayan bhi sirf mazaq aur viral hone ke liye tha.
“Firdous Jamal Hamari Society Ke Jeffrey Epstein Hain” Tamkenat Mansoor

Tamkenat Mansoor ne Firdous Jamal ke bayan par sakht rad-e-amal dete hue unhe “Pakistani Epstein” qarar de diya hai. Tamkenat ka kehna hai ke teenage larkiyon ko mardon ke liye “pur-kashish” kehna darasal ghalat zehniyat hai. Unhon ne walidain ko hoshyaar rehne ka mashwara dete hue kaha ke aisay logon ko foran rokna chahiye jo bachiyon ke liye khatra ban sakte hain.
“Bete Ki Khatir Jhuk Jao” Dr. Nabiha Ali Khan Ka Emaan Rajab Ko Rajab Butt Se Sulah Karne Ka Mashwara

Dr. Nabiha Ali ne Emaan Rajab aur Rajab Butt ki divorce par compromise ka mashwara diya. Unhon ne kaha ke 30 se 32 saal ke mardon ko control karna mushkil hota hai, isliye apne bete Kivan ki khatir Emaan ko jhuk jana chahiye. Dr. Nabiha ke mutabiq mardon ko unki azadi deni chahiye taake rishta tootne se bach sake.
“Iffat Omar Ki Beti Ka Shandaar Valima” Mariyum Aurangzeb Ki Shirkat

Adakaara Iffat Omar ki beti ke valime mein Mariyum Aurangzeb ne shirkat kar ke sab ko heran kar diya. Is star-studded event mein Mariyum ne dulhan aur dulhay ke saath tasaveer banwaein aur unhe shadi ki mubarakbaad di. Siyasat aur entertainment ka ye milaap social media par khoob viral ho raha hai aur fans in tasaveer ko pasand kar rahe hain.
“Dunya Sirf Tamasha Dekhti Hai” Kanwal Aftab Ka Sehar Hayat Ko Apni Divorce Ki Tafseelat Public Na Karne Ka Mashwara

Kanwal Aftab ne Sehar Hayat aur Sami Rasheed ki larai par Sehar ko khamoshi ikhtiyar karne ka mashwara diya. Kanwal ka kehna hai ke apni takleef dunya ko batane ke bajaye sirf Allah se share karein, kyunke dunya sirf mazaq urati hai. Unhon ne Sehar ko apne niji mamlaat private rakhne ki salah di hai taake wo mazeed tanqeed se bach sakein.
Ab TV Par Kaam Nahi Karenge, Kashif Nisar Aur Bee Gul Ka Drama Industry Se Retirement Ka Elan

Drama industry ke do bare naam, director Kashif Nisar aur writer Bee Gul ne television se retirement ka elan kar diya hai. Unhon ne bataya ke “Aik Aur Pakeezah” unka aakhri TV project tha. Ab ye jori sirf digital platforms ke liye kaam karegi aur apna digital channel launch karne ja rahi hai jahan har kisi ko unke poore haqooq diye jayinge.
“YouTube Ki Kamai Halal Hai Ya Haram?” Mufti Tariq Masood Ka Digital Earning Par Ahem Paigham

Mufti Tariq Masood ne YouTube se hone wali kamai ke bare mein ahem wazahat kar di hai. Unka kehna hai ke agar aap internet par jaiz (halal) cheezein dikhate hain, to us se hone wali kamai bhi jaiz hogi. Magar najaiz aur buri cheezein dikha kar paise kamana haram hai. Ye paigham content banany walon ke liye aik ahem hidayat hai.
“Main Saas Ban Chuki Hoon” Kiran Khan Ka Bete Ki Shadi Aur Apni Zindagi Se Mutaliq Bara Inkishaaf Viral

Mashhoor host Kiran Khan ne inkishaaf kiya hai ke unka beta na sirf shadi shuda hai balkay wo saas bhi ban chuki hain. Kiran ne bataya ke unka beta apni biwi ke sath bahar ke mulk rehta hai aur wo unki zindagi mein bilkul mudakhlat nahi kartin. Fans Kiran ki fit-ness aur itni bari khabar achanak sun kar heran reh gaye hain.