Ali Zafar Se Case Harne Ke Baad Meesha Shafi Ne Apni Khamoshi Tor Di

Ali Zafar Se Case Harne Aur 50 Lakh Jurmana Hone Ke Baad Meesha Shafi Ne Khamoshi Tor Di Hai. Meesha Ka Kehna Hai Ke Unka Bolna Hi Unki Asli Jeet Hai. Unhon Ne Bataya Ke Wo Is Trauma Se Nikalne Ke Liye Ab Apne Kaam Par Focus Karein Gi Aur Himmat Nahi Haarein Gi.
“Sue Me Mere Sath Bhi Hua Hai” Iffat Omar Ka Meesha Shafi Ke Sath Hamdardi Aur Ali Zafar Ko Jawab

Iffat Omar aik baar phir Meesha Shafi ki himayat mein khari hogayi hain. Iffat ne Ali Zafar ko khula challenge dete hue kaha ke “Mujh par case karo,” kyunke unke saath bhi waisa hi kuch ho chuka hai jaisa Meesha ne bataya. Unhon ne kaha ke wo court notice ka intezar kar rahi hain aur unhe jhoota sabit karna asaan nahi hoga
Serena Ali Ki Pehli Birthday Cute Photos Ne Social Media Par Sab Ke Dil Jeet Liye

Saboor Aly aur Ali Ansari ne apni beti ki pehli salgirah bari dhoom dhaam se manayi. Is mauqe par Saboor aur unki beti ne aik jaisay polka dot dresses pehni thin jo sab ko bohat pasand aain. Is khushi mein Sajal Aly aur ghar walon ne bhi shirkat ki, aur social media par inki khubsurat tasaveer tezi se viral ho rahi hain.
Pakistan Idol Ka Finale Nahi Hoga Petrol Ki Kami Ka Bahana Ya Paison Ka Chakkar Show Ke Achanak Band Hone Par Awam Ka Shadeed Gussa

“Pakistan-Idol” achanak band kar diya gaya hai jis se fans naraz hai. Intizamia ka kehna hai ke mulki halat aur petrol ki kami ki wajah se show mukkamal nahi kiya ja sakta, is liye ab koi finale nahi hoga. Doosri taraf awam is bahane ko manne ko tayyar nahi aur social media par makers ko “paisa khane” par troll kar rahi hai.
“Joint Family Ka Sab Se Bara Fayda” Muneeb Butt Ka Ghar Ke Masail Aur Buzurgon Ki Ehmiyat Par Dilchasp Bayan

Muneeb Butt ne joint family mein rehne ke fayde batate hue kaha hai ke bare buzurgon ki mojoodgi ghar ke liye barkat hoti hai. Unka manna hai ke jab maa baap aur bare ghar mein hon, to chotay motay jhagray aur masail asani se hal ho jatay hain. Muneeb ke mutabiq buzurgon ka hona ghar mein sukoon ka sabab banta hai.
“Mujhe Nahi Pata Mere Account Mein Kitne Paise Hain” Humayun Saeed Ka Apni Biwi Samina Aur 28 Saala Shadi Par Dilchasp Bayan

Humayun Saeed ne apni 28 saal ki kamyab shadi ka raaz bata diya. Unhon ne apni biwi Samina ki tareef karte hue kaha ke unki kamyabi ke peeche Samina aur Sana ka bara hath hai. Humayun ne bataya ke unhe apne bank account tak ka pata nahi hota kyunke sab kuch unki biwi sambhalti hain.
“Log Kehte Hain Main Imran Khan Jaisa Lagta Hoon” Emmad Irfani Ka Apne Naye Look Aur Kaptaan Se Comparison Par Dilchasp Bayan

Emmad Irfani ne Imran Khan se apne (comparison) par baat ki hai. Emmad ka kehna hai ke unke naye photoshoot ke baad har koi unhe Kaptaan se mila raha hai, jo unke liye bohat baray aizaz ki baat hai. Unhon ne kaha ke Imran Khan jaisa charisma kisi ka nahi aur unke samne frame mein koi aur nazar hi nahi aata.
“Dunya Tamasha Dekhne Mein Mahir Hai” Hira Mani Ka Zindagi Ki Talkh Haqeeqat Par Bayan

Hira Mani ne social media par gehri baat share karte hue kaha ke dunya tamasha dekhne aur banane mein mahir hai. Unhon ne fans ko mashwara diya ke “Jab bhi tootna akele mein tootna,” kyunke log dard baantne ke bajaye uska mazaq urate hain. Hira ki is post ne fans ko zindagi ki talkh haqeeqat par sochne par majboor kar diya hai.
“Social Media Par Frustrated Aunties Baithi Hain” Nida Yasir Ka Trolling Karne Walon Ko Karara Jawab

Mashhoor host Nida Yasir ne unhein troll karne walon ko “frustrated aunties” keh diya hai. Nida ka kehna hai ke ye log kaam ke bajaye unki umar aur looks par ghalat comments karte hain kyun ke wo apni zindagi se khush nahi hain. Unhon ne saaf kaha ke makhsoos log sirf celebrities ki burai karne ke liye social media par baithay hain.
“Aisi Aurton Ko Nishan-E-Ibrat Banana Chahiye” Ali Zafar Ki Jeet Par Iqrar-ul-Hassan Ka Meesha Shafi Ke Khilaaf Sakht Bayan

Iqrar-ul-Hassan ne Ali Zafar ko Meesha Shafi ke khilaaf case jeetne par mubarakbaad dii. Unhon ne kaha ke aise jhootay ilzamaat asli victims ka nuqsan karte hain aur Meesha par lagaya gaya 50 lakh ka jurmana bohat kam hai. Iqrar ke mutabiq aisi aurton ko “nishan-e-ibrat” banana chahiye taake koi kisi shareef aadmi par jhoota ilzaam lagane ki himmat na kare.