
‘Case Jeet Bhi Jaun To Izzat Wapas Nahi Aani’: Faryal Gohar Ke Ilzamat Par Jamal Shah Ka Bara Bayan
Maroof adakar Jamal Shah ne apni sabqa biwi Faryal Gohar ke gharelu tashaddud ke ilzamat par wazahat pesh ki hai. Unhon ne defamation case na karne ki wajah batate hue kaha ke court case jeet kar paise to mil sakte hain, lekin gayi hui izzat wapis nahi aati. Unhon ne pregnancy ke nuqsan par bhi baat ki.



