Maroof adakara Bushra Ansari ne khula ke baad bhi apna surname ‘Ansari’ na badalne ki wajah batadi. Unhon ne bataya ke unka naam Bushra Bashir hai, lekin surname badalne se logo me confusion paida hogi. Unhon ne kaha ke unki betiyan bhi Ansari hain aur is se kisi ko aitraz nahi hona chahiye.