“Aik Hi Take Mein Mushkil Scene Mukammal Kiya”: Hania Aamir Ki Behtareen Acting Performance Par Veteran Actor Raju Jamil Ka Un Ka Sadqa Utarne Ka Shandar Inkishaaf

Maroof Veteran Actor Raju Jamil Ne Inkishaf Kiya Hai Ke Drama ‘Anaa’ Ke Set Par Hania Aamir Ki Shandar Acting Se Mutasir Hokar Unhon Ne Hania Ka Sadqa Utara Tha. Hania Ne Aik Mushkil Scene Sirf Aik Take Mein Mukammal Kiya, Jis Par Raju Jamil Ne Un Ke Sar Se Hazar Rupe Vaar Kar Charity Me Diye.
“Woh Achhe Adakaar Nahi Balke Bohat Bare Star Hain”: Bollywood Ke King SRK Ki Acting Par Veteran Actor Firdous Jamal Ki Kadi Tanqeed

Maroof Veteran Actor Firdous Jamal Ne Mohsin Abbas Haider Ke Show Me Bollywood Ke King Shah Rukh Khan Ki Acting Par Kadi Tanqeed Ki Hai. Unhon Ne Kaha Ke Shah Rukh Khan Aik Achay Adakaar Nahi Hain, Unka Diction Aur Physique Theek Nahi Aur Wo Aik Adakaar Se Zyada Bare Star Hain.
‘Imran Khan Ki Rihai Aur Palestine Ki Azaadi Tak Koi Celebration Nahi’: Adakaar Zahid Ahmed

Pakistan ke maroof Adakaar Zahid Ahmed Ne Aik Awami Guftagu Ke Doran Kaha Hai Ke Wo Us Waqt Tak Koi Bhi Khushi Ya Tehwar Nahi Manayein Ge Jab Tak Sabiq Wazir-e-Azam Imran Khan Riha Nahi Ho Jate Aur P**alestine Azaad Nahi Ho Jata. Is bayan pe fans ke mixed reactions samne arahe hein.
‘Namaz Ne Mujhe Woh Sukoon Diya Jo Duniya Ki Kisi Aur Cheez Mein Nahi Mila’: Adakaar Feroze Khan

Pakistani ke maroof Adakaar Feroze Khan jo apni talented adakari se jane jate hein unho ne Namaz Ki Ahmiyat Par Roshni Daali Hai. Unka Kehna Hai Ke Namaz Ne Unhein Woh Sukoon Aur Itminan Diya Hai Jo Unhein Duniya Ki Kisi Aur Cheez Ya Kamyaabi Mein Kabhi Nahi Mila
‘Hajj Ke Baad Mere Kapron Aur Lifestyle Ko Judge Karna Band Karo’: Social Media Par Sakht Tanqeed Aur Trolling Par YouTuber Kanwal Aftab Ka Karara Jawab

Maroof YouTuber Kanwal Aftab Ne Hajj Ki Sahoolat Ke Baad Apne Lifestyle Aur Libas Par Hone Wali Tanqeed Ka Jawab Diya Hai. Unhon Ne Kaha Ke Log Un Ke Har Kam Aur Vacation Par Unhein Hajj Ka Tana Dena Band Karein Aur Un Ke Lifestyle Ko Judge Na Karein.
UK Me Bollywood Star Neetu Kapoor Se Fiza Ali Aur Faraal Ki Mulaqaat; Adakaara Ke ‘Mental Health Ambassador’ Tag Par Social Media Par Trolling Shuru

Maroof Adakaara Aur Host Fiza Ali Aur Unki Beti Faraal Ne UK Me Bollywood Actress Neetu Kapoor Se Mulaqaat Ki Hai, Jahan Neetu Ne Fiza Ke Mental Health Kaam Ko Saraha. Tahem, Social Media Par Users Ne Fiza Ali Ke Mental Health Ambassador Tag Par Unhein Sakht Troll Kiya Hai.
‘Kahani Abhi Khatam Nahi Hui’: Eman Ki Taraf Se ‘Get Well Soon’ Card Bhejne Par Rajab Butt Ki Video Ne Fans Ko Hairan Kar Diya

Pakistani famous YouTube Star Rajab Butt Ne Apni ex wife Eman Ki Taraf Se Bheja Gaya Aik Dilchasp “Get Well Soon” Card Share Kiya Hai. Is Piyar Bhare Gesture Ke Baad Fans Me Yeh Behas Chirr Gayi Hai Ke Shayad Un Ki Kahani Abhi Khatam Nahi Hui. aur dono abhi bhi rabte mein hein.
“Hum 14 Saal Se Alag Thay, Shadi Aik Galti Ho Sakti Hai”: Actress Saba Hameed Ke Saath Shadi Aur Talaq Ke Hawale Se Waseem Abbas Ka Bara Bayan

Maroof Adakaar Waseem Abbas Ne Saba Hameed Ke Sath Apni Talaq Ki Tasdeeq Karte Hue Bataya Hai Ke Un Ki Shadi 29 Saal Chali. Unhon Ne Wazahat Ki Ke Wo 14 Saal Se Alag Thay Magar Un Ke Darmiyan Koi Talkhi Nahi Hai. Wo Ab Bhi Aik Dusre Ka Ehtram Karte Hain Aur Sath Kaam Kar Sakte Hain.
Humaira Asghar Ki Pehli Barsi: Yaadon Ka Safar AIk Saal Baad Bhi Zinda

Authentic reports ke mutabiq, unki maut October 2024 ke aas paas hui thi, jabke unki mayyat July 2025 mein unke flat se mili. Forensic aur autopsy report ke mutabiq, body mummified aur bohot purani hone ki wajah se cause of death (maut ki asal wajah) ka Reason maloom nahi ho saka tha.
’60 Saal Se Baari Umar Me Capsule Dene Ke Liye Hamsafar Ki Zaroorat Hoti Hai’: Khwateen Ko Shadi Ka Mashwara Dete Hue Actress Asma Abbas Ka Naya Vlog Viral

Maroof Senior Adakara Asma Abbas Ne Apne Vlog Me 60 Saal Se Zaaid Umar Ki Tanha Khwateen Ko Shadi Karne Ka Mashwara Diya Hai. Unhon Ne Kaha Ke Agar Koi Acha Hamsafar Mile To Umar Ke Is Hisse Me Bimarion Aur Capsule Khane Ke Liye Kisi Ke Sath Ki Zaroorat Hoti Hai.