Danish Taimoor Aur Hiba Bukhari Ke Naye Drama ‘Humrahi’ Ka Intense Trailer Release

Danish Taimoor aur Hiba Bukhari aik baar phir sath, is drame ka pehla trailer release kar diya gaya hai, jisay dekh kar fans bohot excited hain. Yeh aik shadeed ishq ki kahani hai jis ki shooting teen mukhtalif mulkon mein ki gai hai. Fans ka kehna hai ke ‘Deewangi’ aur ‘Jaan Nisar’ ke baad yeh jori aik aur blockbuster denay wali hai.
Sadia Imam Ki J@ng Aur School Holidays Par Tanziya Viral Post

Mashhoor adakara Sadia Imam ne social media par Middle East jang aur school holidays ke hawalay say aik dilchasp post share ki hai. Unhon ne tanziya andaz mein kaha ke asli jang larnay walon ke school khulay hain, magar jo log sirf door baith kar tamasha dekh rahe hain, un ke school band hain.
Mahira Khan Ne Apne Bachpan Ki Yaadgar Tasveer Social Media Par Share Kar Di

Pakistani superstar Mahira Khan ne social media par apne bachpan ki aik yaadgar tasveer share ki hai. Is tasveer mein adakara bohot pyari lag rahi hain aur fans ko unka yeh purana andaz bohot pasand aa raha hai. Mahira Khan aksar apnay fans ke sath apni purani yaadein share karti rehti hain.
Meri Zindagi Hai Tu Ki Akhri Qist: Viewers Ne Happy Ending Ki Mukhalifat Kar Di

Drama ‘Meri Zindagi Hai Tu’ apnay ikhtitaam ke qareeb hai, magar viewers happy ending ke khilaaf hain. Fans ka kehna hai ke Kamyar ka kirdaar bohot toxic hai aur Ayra ko usay chor dena chahiye. Log social media par gussay ka izhaar kar rahe hain ke aisay mard ko mafi nahi milni chahiye aur kahani ka anjaam bura hona chahiye.
Ayeza Khan Ki Danish Taimoor Ke Liye Iftar Ki Tayari Ne Fans Ke Dil Jeet Liye

Ayeza Khan ne Danish aur doston ke liye khud Iftar tayyar kiya. Pehlay Ayeza Khan ne mazaq mein kaha tha ke unhein khana banana nahi aata, magar ab unhon ne behtareen khana bana kar sab ko hairan kar diya. Social media par fans Ayeza Khan ki mehnat aur un ki Danish Taimoor ke sath pyari jori ki bohot tareef kar rahe hain.
Iftar Party Ki Video Share Karna Saba Faisal Ko Mehnga Par Gaya

Saba Faisal ko Iftar party mein dupatta na leny par social media par sakht tanqeed ka samna. Saba Faisal ne Lahore mein apny ghar walon aur doston ke liye aik bari Iftar dawat rakhi thi, jis ki video unhon ne Instagram par share ki. Fans ka kehna hai ke Ramzan ke muqaddas maheenay mein unhein munasib tareeqay se dupatta lena chahiye tha.
Live Show Mein Sana Javed Ki Dakaar Par Fahad Mustafa Ne Trolling Kardi

Jeeto Pakistan live show ka aik mazahia waqia viral horaha hai. Game ke doran Sana Javed ko dakaar (burp) aayi, jisay Fahad Mustafa nay foran pakar liya aur un ka mazak urana shuru kar diya. Fahad nay mazaq mein kaha kay ab celebrities live TV par dakaar lay rahy hain. Fans is video ko bohot dilchasp aur funny qarar de rahe hain.
Faiza Hasan Ne Beti Ke Actress Banne Par Husband Ka Reaction Bataya

Actress Faiza Hasan ne bataya ke unke husband ne beti Jahan Aara ke actress banne par koi objection nahi kiya. Jahan Aara ne drama Tum Larkay Bhi Na mein Faiza Hasan ka younger role play kiya. Faiza ke mutabiq unke husband financial consultant hain aur kyun ke woh khud actress hain, is liye beti ke acting career par unhon ne support kiya.
Aakhir UK Ki Bakery Mein Larki Ne Tuba Anwar Ka iPhone Kaise Chura Liya?

Actress Syeda Tuba Anwar ne UK mein mugging ka waqia share kiya. Unhon ne bataya ke London mein bakery mein baithi thi jab aik larki ne chalaki se un ka naya iPhone chura liya. Waqia ke baad woh bohat traumatized ho gayin aur ghar se nahi nikli. Baad mein un ki sister ne un ke liye naya iPhone khareed kar diya.
Film Promotion Ya Gym Session? Fahad Mustafa Ka Sportswear Look Fans Ko Pasand Na Aaya

Pakistani actor aur host Fahad Mustafa ko recent interview mein outfit ki wajah se social media par sakht criticism ka samna hai. Woh film promotion ke liye sportswear aur shorts pehen kar aaye thay. Fans ne is dressing ko inappropriate qarar diya. Kai users ne kaha ke woh behtar outfit pehen sakte thay aur un ki dressing ne logon ko disappoint kiya.