Skip to content
Saved
Home

Author: Muntaha

‘Amar Khan Ki Shandar Adakaari Ne Sab Ke Dil Jeet Liye!’: Drama ‘Mitti De Baway’ Mein Zarina Ke Kirdar Aur Performance Ki Har Taraf Dhoom

Drama ‘Mitti De Baway’ mein adakara Amar Khan ki shandar adakari ne shaiqeen ka dil jeet liye hain. Fans unki performance ko aik ‘revelation’ keh rahe hain, aur khas taur par unka gaana ga kar Baala ko tang karne wala andaz aur uske peechhe chupa gehra dard logon ko pasand aa raha hai.

‘Mama Aap Late Ho Jao Gi!’: Urwa Hocane Ne Beti Ki Pyaari Baatein Aur Shoot Ka Khoobsurat Qissa Share Kar Diya

Pakistan ki Maaroof adakara Urwa Hocane ne apni beti ke sath shoot ke doran pesh anay walay aik pyare waqia ka zikr kiya hai. Unhon ne bataya ke unki beti ne shooting ke doran unka khayal rakha aur pyar se yaad dilaya ke “Mama aap late ho jao gi”.

‘8 Saal Baad Adakaari Ki Dunya Mein Wapsi!’: Ali Zafar Ki Web Series Se Shandar Comeback Par Fans Behad Pur-Josh

Maaroof singer aur actor Ali Zafar 8 saal ke arsay ke baad aik web series ke zariye adakari ki duniya mein wapas aane ke liye tayyar hain. Unki akhri bari film ‘Teefa in Trouble’ 2018 mein aayi thi, aur is naye project ne fans ko behad pur josh kar diya hai.

‘Mujhe Kyun Bura Lagega, Main Toh Abu Bakar Hoon!’: Sheheryar Munawar Ne Apne Viral Meme Par Mazahiya Radd-e-Amal De Kar Sab Ka Dil Jeet Liya

Drama ‘Dar-e-Nijaat’ ke maqbool kirdar Abu Bakr yaani Sheheryar Munawar ne social media par apne character par banaye gaye aik mazahiya meme ko repost kiya hai. Is funny take par unke pur-sukoon aur be-niyaz andaaz ne shaiqeen ko aik baar phir hansne aur unki shakhsiyat ki tareef karne par majboor kar diya hai.

‘November 2025 Ke Baad Se Bachon Se Mulaqaat Nahi Ki!’: Imad Wasim Ki Ex-Wife Sannia Ashfaq Ne Apni Single Mother Ki Zindagi Par Bare Inkishaafaat Kar Diye

Cricketer Imad Wasim ki ex-wife Sania Ashfaq ne aik interview mein inkishaf kiya hai ke Imad ne November 2025 ke baad se apne teeno bachon se mulaqaat nahi ki. Unhon ne bataya ke talaq ke baad woh London mein akele hi apne bachon ki parwarish kar rahi hain aur khud hi single mother ki zimmedari nibha rahi hain.

‘Larkiyon Ke Liye Financial Independence Koi Choice Nahi Zaroorat Hai!’: Mashal Khan

Adakara Mashal Khan ne larkiyon ke kaam karne aur khud-mukhtar hone par apne khayalat ka izhar kiya hai. Unhon ne wazahat ki ke har larki ko kaam karna chahiye kyunke maali taur par azad aur khud-kafeel hona koi choice ya shauk nahi balkay aaj ke daur ki sab se bari zaroorat hai.

‘Actors Apni Privacy Ko Protect Karein Aur Oversharing Se Bachein!’: Mehwish Hayat

‘Pakistani superstar Mehwish Hayat ne ARY Digital ke show par baat karte hue naye adakaron ko mashwara diya hai ke woh apni personal life ki privacy ko mehfooz rakhein aur social media par har cheez overshare karne se gurez karein. Unhon ne wazahat ki ke star banne ke liye thori mystery lazmi hai.

‘Union Council Ko Talaq Ka Notice Aur Maintenance Ka Case!’: Rajab Butt Aur Emaan Fatima Ki Shadi Shuda Zindagi Ke End Par Nayi Tafseelaat Saamne Aa Gayi

Pakistani vlogger Rajab Butt aur unki biwi Emaan Fatima ke darmiyan talaq ke mamlay mein nayi tafseelat samne aayi hain. Rajab ne Union Council ko divorce ka notice bhej diya hai, jabkay Emaan ne bete ke kharche ke liye 5 lakh aur apne liye 2 lakh mahana maintenance ka case file kar diya hai.

‘Agar Pakistan Na Hota To Bollywood Ka Karobar Band Ho Jaata!’: Sara Ali Khan Aur Ayushmann Khurrana Ki Anti Pakistan Film Par Pakistani Awaam Ka Reaction

Sara Ali Khan aur Ayushmann Khurrana ki nayi film ‘Udta Teer’ par Pakistani shaiqeen ki janib se sakht tanqeed ki ja rahi hai. Pakistani awam ka kehna hai ke Bollywood apni flop filmon ko chalane ke liye hamesha anti-Pakistan narrative ka sahara leta hai, jo unki nakami aur bachkana soch ka saboot hai.

“Maine Apne Business Ke Bare Mein Kabhi Nahi Bataya, Par Main Iqra Se Zyada Kamata Hoon”: Areeb Pervaiz Ne Apni Kamai Aur Karobar Par Khul Kar Baat Kar Di

Digital creator Areeb Pervaiz ne aik interview mein apne karobar aur kamai par baat karte hue kaha ke unhon ne hamesha apne business matters ko private rakha hai. Unhon ne wazahat ki ke log chahe kuch bhi sochein, lekin woh apni biwi Iqra Kanwal se kam nahi balkay acha khasa kamate hain.  

← Previous
Next →

Copyright © 2025 Abdulnews. All Rights Reserved.