Adakara Mashal Khan ne larkiyon ke kaam karne aur khud-mukhtar hone par apne khayalat ka izhar kiya hai. Unhon ne wazahat ki ke har larki ko kaam karna chahiye kyunke maali taur par azad aur khud-kafeel hona koi choice ya shauk nahi balkay aaj ke daur ki sab se bari zaroorat hai.